Anjuman E Sakina



KARBOBALAA KE DASHT ME BE-AASRAA AALE NABI
MAARE GAYE ANSAAR SAB ZAKHMI HUWAA IBNE ALI
MUNIS NAHIN YAAWAR NAHIN GHAAZI NAHIN AKBAR NAHIN

BIKHDE PADE HAIN JAA BA JAA LAASHE KAHIN AUR SAR KAHIN
MAATAM KARO EHLE AZAA GHAR LUTGAYAA SHABBIR KAA
PURSE KO AAYI SAYYADAA MAATAM KARO EHLE AZAA
PURSAA BHARE GHAR KAA HAI YE JO KARBALAA ME LUTGAYAA

SAB MILKE AZAADAARON ZEHRAA KO DO PURSAA
BARBAAD HUWAA RAN ME GHAR AALE PAYAMBAR KAA

EK DO PEHER ME LUT GAYAA
MAASUMA-E-AALAM KAA GHAR
KAUNAIN KI SHEHZAADIYAAN
NAUHAA KUNAA HAIN NANGE SAR
TUM SE ALI KI LAADLI KEHTI HAI YE SAR PIT KAR

AI RONE WAALON KYAA KAHE
KAISI HUWI HAM PAR JAFAA
KOHE MUSIBAT GIR PADAA
HAM HOGAYE BE AASRAA
HAR MAJLISE SHABBIR ME AATI HAI ZAINAB KI SADAA

NAANAA KI JO TASWEER THAA
RUKHSAT HUWAA KHAA KAR SINAA
EK HAATH SINE PAR RAKHE
BEHOSH HAI AKBAR KI MAA
ZINDAA RAHUN KAISE BHALAA HAI UMME LAILA KI FUGHAAN

KYAA HASHR KAA HANGAAM THAA
JAB SHAAH PAR KHANJAR CHALAA
WO TERAA ZARBEN SHIMR KI
MAZLOOM KAA SUKHAA GALAA
MAADAR KO DEKHAA DASHT ME AUR ZERE LAB KEHNE LAGAA

SHAAME GHARIBAAN AAGAYI
KARBOBALAA ROTI RAHI
JALTI HUWI US KHAAK PAR
BAITHI RAHI AALE NABI
DASHTE BALAA ME MARSIYAA KARTI RAHI BINTE ALI

HAI MAZHAR-O-IRFAAN BHI
FARSHE AZAA PAR MAATAMI
AANKHON SE JAARI ALQAMAA
PURSE KAA HAI HAQ TO YEHI
MARHAM DILE ZEHRAA KAA HAI NAUHAA-GARI SINAA-ZANI