Anjuman E Sakina



MARJAAYE NA SAKINAA ZINDAAN ME TANHAA HAI
GHERE HUWE BACHCHI KO GHURBAT KAA ANDHERAA HAI

YE KAISI YATEEMI HAI JO HAI WOH RULAATAA HAI
NAA KOI TASALLI HAI NAA KOI DILAASAA HAI

LAB KHUSHK HAI BACHCHI KE AUR HAATH RASAN BASTAA
KUCHH KHAAK HAI BAALON ME BOSIDAA SAA KURTAA HAI

SEHMI HUWI BAITHI HAI EK KONE ME SHEHZAADI
AAHAT BHI JO HOTI HAI DIL KAAMPNE LAGTAA HAI

JIS WAQT TADAPTI HAI BAABAA KO SADAA DEKAR
MAASOOM KI HAALAT PAR ZINDAAN BHI ROTAA HAI

KAL SOYI THI SHEHZAADI SHABBIR KE SINE PAR
AB KHAAK KAA BISTAR HAI AUR KHAAK KAA TAKYAA HAI

LILLAAH KOI JAAKAR BACHCHI KO CHHUDAA LAAYE
ZAALIM KE TAMAACHON SE BE HAAL SAKINAA HAI

YUN TADPI SAKINAA KE GHABRAA GAYI ZAINAB BHI
ROROKE ASEERON NE GHAAZI KO PUKAARAA HAI

BAS ITNAA KAHAA GAUHAR AUR CHALBASI SHEHZAADI
BIN BAAP KE DUNIYAA ME JINAA KOI JINAA HAI