Anjuman E Sakina



ALWIDAA, ALWIDAA, ALWIDAA, ALWIDAA
KHAIME ME AAKE SHAAH NE JAB ALWIDA KAHAA
KOHRAAM MACH GAYAA, KOHRAAM MACH GAYAA

THAA JISKAA INTEZAAR WO SAA-AT QAREEB HAI
DIN DHAL RAHAA HAI SHAAME MUSIBAT QAREEB HAI
KUCHH DER KI HAI BAAT QAYAAMAT QAREEB HAI
ZAINAB GHAREEB BHAAI KI RUKHSAT QAREEB HAI
YE KEHKE MAANGAA MAA KAA JO KURTAA SILAA HUWAA

KUCH DUR HAT KE KHAIME ME BOLE SHAHE ZAMAN
ZEHMAT NA HO TO BAAZU BARHAAO ZARAA BAHAN
MAI BOSE LUN WAHAAN KE BANDHEGI JAHAAN RASAN
BAAZU BARHAA KE ROTI THI HAMSHIR KHASTA TAN
BHAAI BAHEN KE BAAZU KO JAB CHUMNE LAGAA

YE SUNKE BINTE FAATEMAA ZEHRAA TADAP GAYI
BOLI GALAA BARHAAO BAS AB JALD YAA AKHI
AMMAA KI BAAT AAJ MUJHE YAAD AAGAYI
MAI BOSE LUN WAHAAN KE CHALEGI JAHAAN CHHURI
ZAINAB NE BARHKE CHUMAA BARAADAR KAA JAB GALAA

BETI SE PHIR YE KEHNE LAGAA FAATEMAA KAA LAAL
REHNAA PHUPHI KE PAAS RAAKHEGI TERAA KHAYAAL
GHURBAT HAI TUM PHUPHI SE NA KARNAA KOI SAWAAL
WARNAA TERE PADAR KO BOHOT HO-E-GAA MALAAL
PHIR SAR PE HAATH RAKH KE JO DENE LAGE DUAA

BETI KO JAB SIPURDE BAHEN KAR CHUKE IMAAM
ROKAR BAHEN SE KEHNE LAGE AASMAAN MAQAAM
JAANAA WATAN JO QAID SE CHHUTKAR AI TISHNAKAAM
KEHNAA LAHED PE MAA KI MERAA AAKHERI SALAAM
AAYAA JO LAB FAATEMAA ZEHRAA KAA TAZKERAA

AABID SE PHIR YE KEHNE LAGE SHAAHE KARBALAA
BE WAAON AUR YATEEMON KAA AB TUM HO AASRAA
JO IMTEHAAN MERAA THAA SAB MAINE DE DIYAA
AAGE TERAA CHIRAAGH HAI BIMAARE KARBALAA
BIMAAR BETAA BAAP SE JIS DAM JUDAA HUWAA

KHAIME SE BAAHAR AAYE JO SULTAANE KARBALAA
SAR KO JUKAAE ROTAA THAA KHUD ASBE BAA WAFAA
AB KIS TARHA SAWAAR HO ZEHRAA KAA LAADLAA
TANHAAYI KE SIWAA KOI YAAWAR NAHIN BACHAA
JAB SUE NEHR DEKH KAR GHAAZI KO DI SADAA

BHAAI KO TANHAA DEKH KE ZAINAB TADAP GAYI
ROTI HUWI HUSAYN KE NAZDIK AAGAYI
AUR PHIR RAQAAB THAAM KE BOLI AI SHAAHE DEEN
LO MAI SAWAAR KARTI HUN ABBAAS GAR NAHIN
WAAIZ HUWAA SAWAAR JO ZAHRAA KAA LAADLAA