Anjuman E Sakina



WOH ZAAIRE HUSEIN WOH JAABIR WOH KARBALAA
WOH SHAAMSE PALAT KE JAB AAYAA THAA QAAFELAA
NAAQON KE JO CHALNE SE UBHAR NE LAGI SADAA
JAABIR NE BAD-H KE QAAFELE WAALO SE YE KAHAA
RUK JAAO KE YE SALTANAT-E IBNE ALI HAI
NAAQON PE YAHAAN AANAA BADI BE-ADABI HAI

JAB ISS SADAA KO ZAINABE DILGIR NE SUNAA
ROI JIGAR KO THAAM KE AUR RO-KE YE KAHAA
PARWAR-DIGAAR SHUKR HAI TERAA BOHOT BADAA
JAAGIR HAI YE GHAAZI Kl AATI HAI YE SADAA
PHIR ISKE BAAD NAAQE-SE KHUD KO GIRAA DIYAA
ABBAAS Kl BAHAN NE TADAP KAR YE Dl SADAA
ARE ZAINAB HUN Al BHAAI - ZAINAB HUN Al BHAAI

BHAAI MAI ZAINAB HUN - BHAAI MAI ZAINAB HUN

YE KARBALAA HAI JAAGIR TERI HAM AAE TERI JAAGIR MEN
MAR JAAE ZINDAAN MEN HI SAKINAA YE BHI LIKHAA THAA TAQDIR MEN
PEHCHAANO MUJHKO Al MERE GHAAZI ZAINAB HUN Al BHAAI

ZINDAANSE CHHUT KAR MAI AAGAYI HUN RAN JO ALAMKI CHAADAR LIYE
BAAZAARE KUFAA MEN HAI JO GUZRI AANKHON MEN SAARE MANZAR LIYE
PEHCHAANO MUJHKO Al MERE GHAAZI ZAINAB HUN Al BHAAI

BHAYYAA TUMHAARI GHAIRAT Kl KHAATIR BAALONSE PARDAA KARTI RAHI
CHAADAR NAHIN THI SARPAR JO MERE EK EK QADAM PAR MARTI RAHI
PEHCHAANO MUJHKO Al MERE GHAAZI ZAINAB HUN Al BHAAI

BAAZAARE KUFAA SE WOH GUZARNAA EHLE HARAM KE SAALAAR KAA
BHAYYAA SAJAAYAA THAA ASHQIYAANE EK EK KO-NAA BAAZAAR KAA
PEHCHAANO MUJHKO Al MERE GHAAZI ZAINAB HUN Al BHAAI

BHAYYAA SAKINAA KO EK SHAQINE MAANGAA KANIZI MEN JIS GADI
MAI BINTE ZEHRAA MAI BINTE HAIDAR BHAYYAA LARAZ KAR MAI REH GAYI
PEHCHAANO MUJHKO Al MERE GHAAZI ZAINAB HUN Al BHAAI

KAISAA ANDHERAA ZINDAAN THAA WOH JISME SAKINAA JAANSE GAYI
BAABAA CHACHAASE MUJHKO MILAALO MAASUMAA RO RO KEHTI RAHI
PEHCHAANO MUJHKO Al MERE GHAAZI ZAINAB HUN Al BHAAI

KURTAA JO USKAA KHUNSE BHARAA THAA USKO BANAAYAA MAINE KAFAN
JAB DAFN KARTE THE USKO AABID THARRAA RAHAA THAA UN KAA BADAN
PEHCHAANO MUJHKO Al MERE GHAAZI ZAINAB HUN Al BHAAI

RAIHAAN ZAINABKI YE FUGHAAN THI ABBAASE GHAAZI Kl QABR PAR
DETI SAKINAA KO MAI KAFAN JO CHHINTI NA SARSE CHAADAR AGAR
PEHCHAANO MUJHKO Al MERE GHAAZI ZAINAB HUN Al BHAAI