Anjuman E Sakina



BHULAA HAI NA BHULEGAA TAA HASHR ZAMAANAA
DARBAARE YAZIDI ME TERAA KHUTBAA SUNAANAA

TERE PARDE PE QURBAAN TERE BHAAI KE SADQE
AATAA HAI JISE DEEN PE GHAR BAAR LUTAANAA

SHABBIR NE YE DARS ZAMAANE KO DIYA HAI
AAGE KISI ZAALIM KE KABHI SAR NA JUKAANAA

HURMAL YE TERAA ZULM KABHI CHHUP NAHIN SAKTAA
PAANI KE EWAZ TIR SE ASGHAR KO SULAANAA

SHABBIR Kl AZMAT HAI YE SHABBIR Kl JURRAT
MAQTAL SE WOH AKBAR KE LAASHE KO UTHAANAA

MUSHTAAQ KIYE JAA TUN ISSI DAR Kl GHULAAMI
BAKSHISH KAA NAHIN AISAA KOI AUR THIKAANAA