Anjuman E Sakina



KAISAA HAI SITAM MAWLAA KAISE HAI MUSALMAAN
BIN BAAP Kl BACHCHI HAI AUR SHAAM KAA ZINDAAN

JISS ROZ SE BICHHDI HAI BAABAA SE CHACHAA SE
MAASUMAA NE RONE PAR KHAAE HAI TAMAACHE
RASSI Kl AZIYYAT SE DAM GUT-TAA HAI HAR AAN

AARAAM SE SOTI THI JO BAAP KE SINE PAR
ZINDAAN MEN MlLAA USKO AB KHAAK KAA BISTAR
RUKHSAAR BHI ZAKHMI HAI TAR KHUN SE HUWE KAAN

ZINDAAN KAA ANDHERAA HAI AUR YAAS KAA PEHRAA
ISS YAAS KE AALAAM MEN ABBAAS KAA CHEHRAA
YAAD AATAA HAI REH REH KE WOH HOTI HAI BEJAAN

ZINDAAN KAA KOI GOSHAA HOTAA JO HAWAA KAA
GUT GUT KE ANDHERE - MEN WOH MARTI NA ZINHAAR
ZINDAAN SE REHAAI KAA MAR KAR HUWAA SAAMAAN

SAR PE THI YATIMAAN KE SEHRAA KI PADI KHAAK
AUR JISM KE ZAKHMON SE CHIPTI HUWI POSHAAK
JO CHAL BASI ZINDAAN MEN USS BACHCHI KE QURBAAN

KEHTI THI PHUPHI AMMAA KAB HOGI RIHAAI
KYAA KOI KHABAR MERE AMMU KI BHI AAI
LE JAAENGE ZINDAAN SE KAB MUJH KO CHACHAA JAAN

RORO KE JO KEHTI THI HAR WAQT PHUPHI SE
JAATE HAI KAHAAN UD-KE SARE SHAAM PARINDE
HAM BHI KABHI GAR JAAEN KYAA ISSKA HAI IMKAAN

KYUN AMMAA KI GODI MEN ASGHAR NAHIN MERAA
KYAA LUTAA GAYAA AMMAA MAASUM KA JULAA
LAADO MERE BHAIYYA KO MUJH PAR KARO EHSAAN

MAI WAARI GAI AMMAA BAABAA SE MILAADO
JISS SINE PE SOTI THI PHIR USPE SULAADO
JINE KI NAHIN HUN MAI LAMHON KI HUN MEHMAAN

AB BHI DARE ZINDAAN SE AATI HAI SADAAEN
BAABAA MUJHE ZINDAAN KI MUSIBAT SE BACHAAE
BACHCHI KI SADAA KYAA HAI NAUHAA TERA RAIHAAN