Anjuman E Sakina



ANDHERI RAAT SIYAAH POSH AUR KHAAMOSH FIZAA
AJIB SISKIYAAN LELE KE CHAL RAJHI HAI HAWAA
UFAK PE CHHAAI HUWI HAI SIYAAH GHAM KI GATAA
KISI KE RONE KI KAANON MEN AA RAHI HAI SADAA

ROTI HAI KOI MAA - ROTI HAI KOI MAA
ZINDAAN MEN EK LAASH KO SINE SE LAGAAE
ROTI HAI KOI MAA
SINE SE LAGAAE HUWE AANCHAL SE CHHUPAAE

BAABAA KE LIYE ROKE JO BACHCHI NE QAZAA KI
YAA RAB HAI DUHAAI
DUKHIYAA KISSE ISS AALAME GHURBAT MEN BULAAE

YE QAID YE BE-WAARISI YE BACHCHI KAA MARNAA
YE ZULM KAA SEHNAA
DUSHMAN KO BHI ALLAAH NA YE WAQT DIKHAAE

EK CHHOTE SE LAASHE KE QARIB AABIDE BIMAAR
HAI CHASHME GOHAR BAAR
BAITHE HAI BASAD RANJO ALAM SAR KO JUKAAE

AAJAAO KAHAAN SO GA-E ABBAASE DILAAWAR
AI QAASIMO AKBAR
KISS TARHA SE SAJJAAD-E HAZIN QABR BANAAE

YAA HAIDARE QARRAAR MADAD KARNE KO AAWO
FARIYAAD KO PONHCHO
ISS AALAME TANHAAI MEN MAA KISKO BULAAE

ZINDAAN SE SAAQIB YEHI AATI THI SADAAE
AB KISKO BULAAE
HAI KOVN JO TAABUT SAKINAA KAA UTHAAE