Anjuman E Sakina



YE SHAAME AASHUR KAA HAI MANZAR
HAI KARB MEN IRATE PAYAMBAR
TABHI TO SAAHIL PE ALQAMAA KE
KISI KAA LAASHAA TADAP RAHAA HAI

YE KOI MEHWE BUKAA HAI SHAAYAD
KISI NE AMMU KAHAA HAI SHAAYAD
BAD-HAA HAI SHAAYAD KOI SITAM GAR
TABHI TO SAAHIL PE ALQAMAA KE

WOH BHOLI BHAALI SI EK BACHCHI
NAJAF Kl JAANIB KO TAK RAHI THI
KISI NE CHHINE HAI USKE GAWHAR
TABHI TO SAAHIL PE ALQAMAA KE

ATASH SE BACHCHE MACHAL RAHE HAI
YEH PHUL SHOLO MEN JAL RAHE HAI
CHAMAN MEN KUMLAA GAE GULE TAR
TABHI TO SAAHIL PE ALQAMAA KE

HUJUME GHAM SE JO NIMJAAN HAI
WOHI JO BIMAARO NATAWAAN HAI
KISI NE KHINCHAA HAI USKAA BISTAR
TABHI TO SAAHIL PE ALQAMAA KE

RAHI JO KUFE KI SHEHZAADI
KiSI NE SHAAYAD USSE SADAA DI
CHHINI HAI KAWSAR AB USKI CHAADAR
TABHI TO SAAHIL PE ALQAMAA KE