Anjuman E Sakina



GHAAZI ALAMDAAR GHAAZI ALAMDAAR
GHAAZI ALAMDAAR ALAMDAAR ALAMDAAR
Al SHAAHE SHAHIDAAN KE WAFAADAAR ALAMDAAR

WOH PYAAS WOH GARMI WOH TARAAI SE BAGHAAWAT
WAADAA WOH BHATIJI SE WOH PYAASON KE MUHABBAT
WOH ZABT KE BANDAN MEN BANDHI TERI SHUJA-AT
HOGAA NA KOI TUJHSA KAHIN SAAHIBE ISAAR

SAQQAA-E SAKINAA KI GULAAMI SHAHE DIN KI
QABZE ME TARAAI THI MAGAR PYAAS WOHI THI
DUNIYAA NE MAGAR SHAANE ALAMDAAR YEH DEKHI
PYAASE RAHE ABBAAS TO PYAASAA RAHAA REHWAAR

WOH NAAM KE JIS NAAM MEN EK ZER NAHIN HAI
MUSHKIL ME PUKAARE TO KOI DER NAHIN HAI
ABBAAS SA DUNIYAA MEN KOI SHER NAHIN HAI
JIS RUKH SE BHI DEKHE TO LAGE HAIDARE QARRAAR

AAQAA HAI YE AISAA KE HULAAMI PE KARE NAAZ
SHABBIR KI AAQAAZ SE UNCHI NA HO AAWAAZ
LE JISKE PHARERE SE HAWAA QUWWATE PARWAAZ
WOH SAAHIBE TASLIM O RIZAA SAAHIBE QIRDAAR

BAAZU JO KATE DAANTON MEN MASHKIZA DABAAKAR
KOSHISH THI POHONCH JAAUN DARE KHAIMAA-E SARWAR
AFSOS KE BIGDAA THAA KUCHH ISTARHA MUQADDAR
GORE SE GIRAA RET PE SHABBIR KA GHAMKHWAAR

MASHKIZE SE BEHTE HUWE PAANI KO JO DEKHAA
ABBAAS KI AANKHON SE BAHAA KHUN KA DARIYAA
YAAD AAGAYI PHIR MARTE HUWE BAALI SAKINAA
CHALTI HUWI HAR SAANS THI SHAMSHIR E SHAHAR-BAAR

AAQAA HI KAHAA BHAAI KO BHAAI NA PUKAARAA
SHABBIR NE SAMJAA JISSE AANKHON KA SITAARAA
TUFAANE GHAMO RANJ MEN ZAINAB KA SAHAARAA
JO DHUP KI SHIDDAT MEN RAHAA SAYAA-E BIMAAR

RAIHAAN YEHI ASHK FISHAANI KA SABAB HAI
TANHAA HAI HARAM SHAAME GHARIBAA MEN GHAZAB HAI
MAASUM SAKINAA PE QAYAAMAT KI YEH SHAB HAI
KAANON SE LAHU BEHTA HAI NILE HUWE RUKHSAAR