Anjuman E Sakina



WAA WAILAA WAA WAILAA

PYAASE KE GALE PAR CHAL TAA HAI
BE DHAAR KAA KHANJAR WAA WAILAA
ROTE HAI NABIYO HAIDER BHI
HAI DARD KAA MANZAR WAA WAILAA

MEHMAAN BULAA KE QATL KIYAA
AADAANE NABI KE DILBAR KO
MAARAA HAI JAFAA SE QAASIM KO
ABBAASE JARI KO ASGHAR KO
SINE PE SINAA KHAA KAR SOYAA
HAM SHAKLE PAYAMBAR WAA WAILAA

WOH GARMI WOH JALTAA SEHRAA
WOH DOOR TARAAI SE KHAIMAA
WOH BACHCHON KE AAWAAZE ATASH
WOH HAATHON MEN KHALI KUZAA
WOH BAAZU BURIDAA DARIYAA PAR
ABBAASE DILAAWAR WAA WAILAA

ATHAARAA BIRAADAR THE JISKE
BAAZU HAI RASAN BASTAA USKE
MUNH APNAA CHHUPAA-E BALWE MEN
MAZLUM BAHAN HAI BAALON SE
BE GORO KAFAN BHAAI HAI PADAA
HAMSHIR KHULE SAR WAA WAILAA

WOH NANHAA GALAA WOH TIR-E SHAM
WOH KHAIME KE DARPAR MAA PUR GHAM
WOH LAB PE HASI ASGHAR KE SAJI
WOH KAAMP GA-E HURMUL KE QADAM
WOH TIR CHALAA WOH HASHR UTHHAA
GHASH HO GAYI MAADAR WAA WAILAA

JALTAA HUWAA BACHCHI KAA DAAMAN
HOTHON PE YEHI HAI USKE SUKHAN
KAANONSE LAHU BEHTAA HAI JUDAA
DURRON SE HAI ZAKHMI SAARAA BADAN
CHHINE HAI JAFAA SE AADAANE
KAANON SE GAVHAR WAA WAILAA

SHABBIR KO TANHAA GER LIYAA
HOTHON PE NABI KAA HAI KALMAA
HAATHON PE LIYE BAD-H TE HAI ADU
TALWAARO TABAR TIRO NEZAA
SAR PIT KE KAR TE HAI NAWHAA
ZEHRAAO PAYAMBAR WAA WAILAA

SAR NEZON PE QAIDI KUNBAA
BIMAAR YUN SU-E SHAAM CHALAA
HAI LAB PE YEHI BAS EK SADAA
QAD QUTILAL SHAA-HE KARBOBALAA
Al CHASHME FALAK KAISE DEKHAA
YE KHUNI MANZAR WAA WAILAA