Anjuman E Sakina



ZAAHRAA KE DILKE TUKDE HAI RET-E KARBALAA PE
ZAINAB BHI RO RAHI HAI BAALON SE MUNH CHHUPAA KE

KHAA TIR TIN MUNH KAA ASGHAR NE HANS KE DEKHAA
CHHINTE PADE THE UDKE DASTAA RE MUSTAFAA PE

ZAALIM NE BARCHHI MAARI QABR-E BATUL TADPI
BARCHHI LAGI HAI HAAE TASWIRE MUSTAFAA PE

IBNE HASSAN KO MAARAA LAASHAA KUCHAL DIYAA HAI
TUKDE BIKHAR CHUKE HAI HAR TARF INNA-MAA KE

BAAZU BHI KAT CHUKE HAI DAANTON SE ALAM THAAMAA
TAQDIR RO RAHI HAI GHAAZI TERI WAFAA PE

JIS HALQ KO MUHAMMAD KHUSH HOKE CHUMTE THE
ZAALIM TO HANS RAHAA HAI KHANJAR WAHIN CHALAA KE

KHAIMEN LAGE HAI JALNE KOHRAAM MACH GAYAA HAI
ZAINAB RIDAA-E ZEHRAA RAKHKHE KAHAAN CHHUPAA KE

HAI LAADLI SAKINAA SARDAARE KARBALAA Kl
CHHINE SHIMAR NE GAVHAR HAAE MAAR KAR TAMAACHE