Anjuman E Sakina



SHAAH KAA SAR KAT GAYAA TEGHE JAFAA KHAAMOSH HAI
AASMAAN TASWIRE GHAM DASHTE BALAA KHAAMOSH HAI

WOH HUMAKNAA MUSKURAANAA AUR LIPATNAA SHAAH SE
ASGHAR-E MAASUMKI AB HAR ADAA KHAAMOSH HAI

RUK GAYI NABZE DO-AALAM THAR-THARAAI KAAENAAT
ZER-E KHANJAR BAADSHAAHE KARBALAA KHAAMOSH HAI

JISKE PARDE KE MUHAAFIZ AKBARO ABBAAS THE
AAJ BALWE MEN WOH ZAINAB BE-RIDAA KHAAMOSH HAI

ROTE ROTE CHALBASI BAALI SAKINAA QAID MEN
RAAT SE TAARIK ZINDAAN Kl FIZAAN KHAAMOSH HAI

AABID-E BIMAAR AUR WOH TAAZIYAANE SHIMR KE
TOVQ HAI SAKTE MEN AUR ZANJIR-E PAA KHAAMOSH HAI

KHENCHLI BETE KE SIN-E SE SINAA SHABBIR NE
EK TAGHAYYUR MEN HAJUME AMBIYAA KHAAMOSH HAI