Anjuman E Sakina



SAHAR HO-NE-SE PEH-LE DEKH LO SHABBIR KO ZAINAB
TARAS JAAEN Gl PHIR AAN KHEN ISSI TASWIR KO ZAINAB

BAHATTAR DAAGH SEHNE HAI TUJ-HE KAL SAANI-E ZEHRAA
TER-E BACHCHE BHI MAAR-E JAAENGE PYAAS-E LAB-E DARIYAA
NA MIL PAA-E GAA PAANI ASGHAR-E BESHIR KO ZAINAB

ALI AKBER KE SIN-E PAR LAGE Gl ZULM Kl BARCHHI
ZAMIN-E GARM PER TADPENGI LAASH-E TER-E BACHCHON Kl
RULAAEN GE LAIN KAL DUKHTAR-E SHABBIR KO ZAINAB

CHHIDEN Gl MASHK BAAZU BHI QALAM ABBAAS KE HONGE
ALAM JAB AAE GAA KHAALI US-E DE KHONGI TUM KAI-SE
SAHO Gl ISS TARAH DIL PER SHAM MERI BAHAN ZAINAB

UTAR JAAE GAA TAN-SE SER TER-E BHAAI KAA KAL BAN-MEN
UTHTHEN Gl AANDHIYAAN BARSEGAA KHUN BAA-A-DE SAHAR BAN-MEN
TASALLI KISS TARAH DEGI DIL-E DILGIR KO ZAINAB

SAKINAA KO SATAAEN GE LAIN DUR US-KE CHHINEN GE
LAGAA KAR AAG KHAIMON MEN TERAA ASBAAB LUTEN GE
SAMBHAAL-E HON GE SAJJAAD-E HAZIN ZANJIR KO ZAINAB

RASAN BASTAA TUM-HE JAANAA HAI SU-E SHAAM SHEHZAADI
RULAAE Gl JUDAAI RAAH MEN ABBAASO QAASIM Kl
PUKAARO Gl TADAP KAR SHAAH-E KHAIBAR GIIR KO ZAINAB

GHAMEN SHABBIR MEN DUBAA HUWA HAR CHAND KE DIL HAI
BAYAAN-E GHAM KAHAAN TAK MAI LIKHKHUN RAIHAAN MUSHKIL HAI
ZAHE QISMAT AGAR SUN LE MERI TEHRIR KO ZAINAB