Anjuman E Sakina



YUN CHHIDI NAN-HI SI GAR-DAN HURMALAA KE TIR-SE
HO GA-E PAIWAST ASGHER BAAZU-E SHABBIR SE

RAN-SE ASGHER KO NAHIN LAA-E ABHI TAK SHAAHE DIN
FIKR BADTI JAA RAHI HAI MAA KI ISS TAAKHIR-SE

LAA RAH-E HAI LAASHA-E PAAMAAL-E QAASIM SHAAHE DIN
KAIS-E DEKHI JAAE GI YE MAADAR-E DILGIR-SE

AAI YE MUSHKIL-KUSHAAI KE LIYE KHAIBAR KUSHAA
LAASHE FARZAND-E JAWAAN UTH TI NAHIN SHABBIR SE

KEHT-E THE RO-RO KE BACHCHE HAZRAT-E ABBAAS SE
AI CHACHAA LAA DI JI YE PAANI KISI TADBIR SE

JAL TE KHAIMON MEN PARISHAAN THE SABHI LAIKIN RABAAB
CHUPSI BAI-THI THI LAGI GEHWAARA-E BE SHIR-SE

HUR KO JANNAT AUR SHABAAB IBNE MAZAAHIR KO MILAA
KYAA NAHIN PAAYAA KISI-NE AI QAMAR SHABBIR SE