Anjuman E Sakina



KHWAAHARE SHAAHE ZAMAN ROKE PUKAARI ABBAAS
CHHIN GAYI SARSE RIDAA HAAE HAMAARI ABBAAS

CHAARSU BIKHDI THI LAASHE YEH BATAAUN KYUN KAR
MAINE AASHUR KI SHAB KAISE GUZAARI ABBAAS

LAASH EK PYAASEKI DARIYAA PE TADAP JAATI THI
JAB SADAA DETI THI ZEHRAA KI DULAARI ABBAAS

DEKHAA BE-CHAIN SAKINAA KO TO BOLI ZAINAB
YAAD KARTI HAI TUMHE PYAAS KI MAARI ABBAAS

CHALBASI QAID KI IZAA SE TADAP KAR BACHCHI
LAASH SAJJAAD NE TURBAT MEN UTAARI ABBAAS

YUN PHIRAAI GAYI MAI KUFEKI BAAZAARO MEN
HAAE CHAADAR THI NA HAWDAJ NA AMAARI ABBAAS

MUJH PE EHSAAN HAI AATI HAI SADAA ZEHRAA KI
ZINDAGI TUMNE MERE LAAL PE WAARI ABBAAS

EHLE DIL CHAAK GAREBAAN HAI TERE MAATAM MEN
SAARI DUNIYAA PE TERAA SOG HAI TAARI ABBAAS

AI ZAKI BAIN THE ZAINAB KE YEHI SHAAMO SAHAR
LUT GAYI HAAE KAMAAI MERI SAARI ABBAAS