Anjuman E Sakina



UMMATNE MAARDAALA BAADE ALI HASAN KO
ZEHRE DAGHAA PILAAYAA ZEHRAAKE GULBADAN KO

SINEPE HAATH RAKH KAR SHABBARNE KHUN UGLAA
ZAINABNE LAAKE RAKHKHAA JAB SAAMNE LAGAN KO

ZAINAB TADAP RAHI HAI ABBAAS RO RAHE HAI
GHASH AARAHE HAI GHAMSE KULSUM KHASTATAN KO

MAASUMSAA WOH CHEHRAA HAAE GHAME YATlMI
KHUD CHAAK KARLIYA HAI QAASIMNE PAIRAHAN KO

AHMADKO FAATEMAAKO HAIDARKO ROI ZAINAB
AUR AAJ RO RAHI HAI BINTE ALI HASAN KO

SHABBIRKO BULAAKAR LIPTAA LIYAA GALESE
SHAAYADKE KARBALAAKI YAAD AAGAYI HASAN KO

LAASHEPE MUJTABAAKI KEHTITHI ROKE ZAINAB
SADQE GAYI BARAADER AAWAAZ DO BAHAN KO

ROKAA GAYAA JANAAZAA FARZANDE FAATEMAAKA
BARSAAE TIR AISE CHHALNI KIYAA BADAN KO

PESHE NAZAR THI SHAAYAD ZAINABKI BE-RIDAAI
KIS YAAS-SE HASAN NE DEKHAA ASER BAHAN KO