Anjuman E Sakina



SAB CHAAK GIREBAAN SAHAR GIRYAAN KUNAA HAI
MAKHLUKE KHUDAA MAAILE FARIYAADO FUGHAAN HAI
MAA BAIN ZAMIN AASMAAN MEHSHARKA SAMAA HAI
UNNISWIN RAMZAANKA YEH HAAL BAYAAN HAI
TAARIKH YEH WOH HAI JO QAYAAMATSE NAHIN KAM
Al MOMINO SAR PITO KARO GIRYAA-O-MAATAM

FAARIGH JO TAHAJJUDSE HUWE FAATAHE KHAIBAR
AUR SEHN MEN AAYE JUNHI HUJRESE NIKAL KAR
BAS QASD KIYAA HI THAA ABHI JAANEKA BAAHAR
WOH THAA KE ADAA FAJR KA HO FARZE MUKARRAR
MURGHAABIYONE GER LIYA HAQKE WALIKO
DARWAAZEPE JAANE NAHIN DETE THE ALIKO

GOYAA HUWE MURGHAABIYONSE HAIDARE QARRAAR
ISS UNSKI DE TUMKO JAZAA KHAALIKE GHAFFAAR
NAALE NA KARO SABR KARO Al MERI GHAM-KHAAR
JO WAQT MUAYYAN HAI WOH TALTAA NAHIN ZINHAAR
DAAMANKO MERE CHHOD DO YUN ASHK NA BARSAAO
MASJID MEN MUJHE JAANE DO DARWAAZESE HATJAAO

PONHCHE JUNHI MASJID MEN ALI DEKHAA YEH MANZAR
ONDHAA PAD-HA SOTAA HAI LAIN EK ZAMIN PAR
JAB USKE KARIB PONHCHE TO GOYAA HUWE HAIDAR
UTHH PAIRAWE IBLIS SHAQI AUR SITAMGAR
MAALUM HAI SAB KISLIYE TUN AAYAA HAI KUFAA
KIS KAAM KE KARNEKA YAHAAN PAR HAI IRAADAA

WAAN JAAKE AZAAN DENE LAGE KHALQKE MAWLAA
MEHRAABE IBAADAT MEN HUWE ZEB-E MUSALLAA
MASRUF HUWE TAA-ATE HAQ MEN SHAHE WAALAA
THI FAJR Kl PEHLI HI RAKAT PEHLAA WOH SAJDAA
TALWAAR RAKAB MEN BIN-E MULJIMNE LAGAAYI
DO PAARAA KIYAA SARKO JAB IN TAK UTAR AAYI

SAR PITKE KEHTE THE NAMAAZI KE Al JALLAAD
KYA KAR DIYA YEH KHAANA-E HAQ MEN SITAM IJAAD
Kl HAQKE WALI PAR YEH BALAA KISLIYE BEDAAD
FARIYAAD HAI FARIYAAD HAI FARIYAAD HAI FARIYAAD
ISS SHORE FUGHAANKO SUNAA HASNAIN NE JISDAM
MASJIDKO CHALE GHARSE WOH KARTE HUWE MAATAM

HASNAIN NE AALUDAA BA-KHUN BAAPKO PAAYAA
WOH BAIN KIYE JISSE KE MUNHKO JIGAR AAYAA
PHIR EK CHATAAI PE GHARAZ UNKO LITAAYAA
GHAM-KHWAARONE ZAKHMI SHAHE SAFDARKO UTHAAYAA
GHAR LAAYE MUBAADAA KAHIN HAALAT NA BIGAD JAAYE
SAR KHOLE HUWE SAANI-E ZEHRAA NA NIKAL AAYE

DAAKHIL HUWE JAB GHAR MEN PISAR BAAPKO LEKAR
WAHAAN NAALA-O-SHEWANSE BAPAA HOGAYAA MEHSHAR
THAAME HUWE THI BETI KOI PAAUN KOI SAR
AAHISTAASE HUJRE MEN LITAAYAA UNHE JAAKAR
THAA WIRDE ZABAAN WAA ALIYAA AAHO BUKAA MEN
AAWAAZ YEHI GUNJTI THI ARZO SAMAAN MEN