Anjuman E Sakina



MAQTALSE YEHI AATI THI SADAA
KOI NA RAHAA SANNAATAA HAI
PARDES MEN AAKAR KOVN LUTAA
KOI NA RAHAA SANNAATAA HAI

ALLAAH YEH KAISAA MANZAR HAI
JO LAASH BHI HAI WOH BE-SAR HAI
BEHTAA HAI YAHAAN KHUN KA DARIYAA

HAI AAJ FAZAAEN BHI GHAMGHIN
LAASHON KE SAR-HAANE KOI NAHIN
CHHAAI HAI FALAK PE GHAMKI GATAA

KUCHH KHAIMEN NAZAR AATE HAI JAL-E
AUR SUKHE HUWE TOO-TE KUZE
YEH QAAFELAA THAA KYAA PYAASON KA

YEH LAASH HAI KIS SHEHZAADE Kl
KIS TARHA HUWAA SINAA ZAKHMI
QISMAT NE YEH GHAM KIS MAAKO DIYAA

HAI QAD MEN BARAABAR DO LAASHEN
DUBI HAI LAHUKE DARIYAA MEN
DONO KO AJALNE LOOT LIYAA

YEH MAARAA GAYAA HAI KOVN HAZIN
SEHRAA HAI KAHIN KANGNAA HAI KAHIN
KAISAA YEH SITAM DUNIYAA NE KIYAA

EK SHER PADAA HAI SAAHIL PAR
HAIBAT KA ABHI TAK HAI YEH ASAR
SEHMI SEHMI CHALTI HAI HAWAA

TURBAT HAI YAHAAN EK NANNI SI
NAZDIK PADAA HAI NAAWAK BHI
MAASUM KO KISNE QATL KIYAA

HAR SIMT UDAASI CHHAAI HAI
TIRON PE KIS-E NIND AAI HAI
BE GOR-O KAFAN LAASHAA HAI PADAA

EK SHAKHS MUNAWWAR HAIRAAN THAA
AAI YEH KISI BIBI Kl SADAA
MERAA KUNBAA BARBAAD HUWAA