Anjuman E Sakina



SAHAR HONESE PEHLE DEKHLO SHABBIR KO ZAINAB
TARAS JAAEGI PHIR AANKHEN ISSI TASWIR KO ZAINAB

UTAR JAAEGAA SAR TANSE TERE BHAAI KA KAL RAN MEN
UTHEGI AANDHIYAAN BARSEGAA KHUN BAADE SAHAR RAN MEN
TASALLI KIS TARAH DEGI DILE DILGIR KO ZAINAB

ZAMINE GARM PE TADPENGE KAL LAASHEN AZIZON KE
RAKHENGE NOVKE NEZAAPE LAIN JAB SAR SHAHIDON KE
SAMBHAALE HONGE SAJJAAD-E HAZIN ZANJIR KO ZAINAB

SAKINAA KO TAMAACHE MAAR KE AA-A-DAA RULAAENGE
SARONSE CHHIN KE CHAADAR WOH KHAIMEN BHI JALAAENGE
NA MIL PAAEGAA PAANI ASGHAR-E BESHIR KO ZAINAB

ALI AKBAR KE SINE MEN LAGEGI ZULM Kl BARCHHI
QALAM ABBAAS KE SHAANE BHI HO JAAENGE Al BIBI
LAHU ASGHAR KA PINAA HAI SITAMKE TIR KO ZAINAB

RASAN BAAZU MEN HOGI SAR KHULAA BAAZAAR MEN HOGAA
PADAA EK TOVQ BHAARI GARDAN-E BIMAAR MEN HOGAA
KAROGI YAAD RO-RO SHAAHE KHAIBAR GIR KO ZAINAB

BAHATTAR DAAGH SEHNE HAI TUJHE KAL SAANI-E ZEHRAA
TERE BACHCHE BHI MAARE JAAENGE PYAASE LABE DARIYAA
RULAAENGE LAIN KAL DUKHTAR-E SHABBIR KO ZAINAB

CHHIDEGI MASHK BAAZU BHI QALAM ABBAAS KE HONGE
ALAM JAB AAEGAA KHAALI USSE DEKHOGI TUM KAISE
SAHOGI ISS TARAH DIL PAR SITAM BE-PIR KE ZAINAB