Anjuman E Sakina



ZAINAB KI GHAREEBI KO NA BHULEGAA ZAMAANAA
ROTI HUWI BAAZAAR SE DARBAAR ME JAANAA

HAQ THAA KE RIDAA DETE MAGAR WOH BHI NAHIN DI
DARBAAR MEN ZAHRAA KI TARHAA JAB TU GAYI THI
AFSOS TERAA RUTBAA BHI LOGON NE NA JAANAA

WOH JALTE HUWE KHAIMEN WOH PYAASON KI SADAAEN
KHAAMOSHI PE WOH DURREN WOH RONE PE JAFAAEN
SAB DAST-E SITAMGAAR SE BACHCHON KO BACHAANAA

PARDE MEN KANIZEN HAIN SAR-E BAZM HAI ZAINAB
DARBAAR MEN RORO KE YEHI KEHTI HAI ZAINAB
UMMAT KAA TERI KAISAA HAI INSAAF YE NAANAA

JIS BIBI KA SAAYAA BHI NA DEKHAA THAA KISI NE
WOH BHEED MEN LOGON KI RASAN BASTAA KHADI HAI
AUR KEHTI HAI FIZZAA SE KE GHAAZI KO BULAANAA

AAMAD PE HARAM KI BHI SAJAAYE GAYE BAAZAAR
HAR GAAM TAMAASHAAI BANE RAAH MEN DIWAAR
TAB ROTAA THAA GHURBAT MEN MUHAMMAD KAA GARAANAA

SAJJAAD LAHU ROTAA RAHAA SHAAM MEN HAR DAM
PARDON KAA WOH GHAM USPE QAYAAMAT SE NA THAA KAM
AABID KAA WOH KHAM HO KE HI BAAZAAR ME JAANAA