Anjuman E Sakina



AAGAYI SHAAME GHARIBAAN KARBALAA KHAAMOSH HAI
HOGAYAA MAQTOOL QURAAN KARBALAA KHAAMOSH HAI

FAATEMAA KE LAADLE SAB ZULM KE MAARE GAYE
MURTAZAA KI AANKH KE ROUSHAN SABHI TAARE GAYE
MUS-HAF-E ISMAT KE JITNE THE SABHI PAARE GAYE
HAL ATAA PAR HAAYE SAARI INNAMAA KHAAMOSH HAI

JALGAYE HAIN SAARE KHAIMEN KYAA KARE SAIDAANIYAAN
CHAADARE BHI CHHIN GAYI HAI KYAA KARE SAIDAANIYAAN
ZULMATON KI BHEED MEN HAIN MUSTAFAA KI BETIYAAN
CHUP HAI ABBAAS-E JARI AUR ALQAMAA KHAAMOSH HAI

MAADAR-E BESHIR KO ZAINAB SAMBHAALE KYAA KARE
GOD MEN SAARE YATEEMON KO UTHHAALE KYAA KARE
AABID-E MUZTAR KO SHOLON SE NIKAALE KYAA KARE
EK ZAINAB HAI AKELI QAAFELAA KHAAMOSH HAI

EK TARAF KHAIMEN JALE AUR EK TARAF MASNAD JALI
HAR TARAF DIL KI SADAA HAI YAA MUHAMMAD YAA ALI
AISE MEN ZAINAB BANI HAI KHUD HUSAYN IBNE ALI
AZME ZAINAB DEKH KE HAR MOJIZAA KHAAMOSH HAI

MUSHKILEN ISS RAAT MEN JAB MEHWE HAIRAT HOGAYI
EK PHUPHI AUR EK BHATIJI KOHE GHAIRAT HOGAYI
HAR MUSIBAT JEL KAR FAKHRE MASHIYYAT HOGAYI
SABR-O GHAM KAA ISS JAGAA HAR FALSAFAA KHAAMOSH HAI

AAKHIRASH MEER-E NAJAF KHUD BHI YE MANZAR DEKH KAR
AAGAYE KARBOBALAA BETI KO MUZTAR DEKH KAR
KEH UTHHI HAIDAR SE YE HAIDAR KI DILBAR DEKH KAR
MERE BAABAA AAP KAA HAR DILRUBAA KHAAMOSH HAI