Anjuman E Sakina



HAI MADI-NE MEN SHO-RE AAHO BUKAA
LARZAAN HAI RAV-ZA-E RASU-LE KHUDAA
QAB-RE ZEHRAA SE AA RAHI HAI SADAA
MAA BHI DEGI SAFAR MEN SAATH TERAA
MURTAZAA SAR PE KHAAK UD-HAA-TE HAI
CHHOD KAR GAR HUSEIN JAA-TE HAI

MUJTABAA HAI LAHAD MEN NAALAAN KUNAA
UMME SALMAA ALAM SE HAI BE JAAN
SAAKINAAN NE WATAN KAA HAI YE BAYAAN
HOTAA HAI RAV-ZA-E NABI WIRAAN
MURTAZAA SAR PE KHAAK UD-HAA-TE HAI
CHHOD KAR GAR HUSEIN JAA-TE HAI

EK DUKHTAR JO SHEH KI HAI BIMAAR
SAATH CHAL-NE PE KARTI HAI ISRAAR
US KE RO-NE SE SAB KE DIL HAI FIGHAAR
SAKHT MUSHKIL MEN HAI SHA-HE ABRAAR
MURTAZAA SAR PE KHAAK UD-HAA-TE HAI
CHHOD KAR GAR HUSEIN JAA-TE HAI

THAAM KAR DIL KO AP-NE SHAA-HE HUDAA
KAR-TE HAI PYAAR KAR-KE YE WAA-DAA
ZID KARO ISS GADI NA TUM SUGHRAA
JALD BULWAAEN-GE TUM-HE BETAA
MURTAZAA SAR PE KHAAK UD-HAA-TE HAI
CHHOD KAR GAR HUSEIN JAA-TE HAI

BOLI SUGHRAA PIDAR SE YE ROKAR
JAB SE SUN PAAI HAI SAFAR KI KHABAR
MUNH KO AA-TE HAI ME-RE QALBO JIGAR
GAR KE DIWAARO DAR HAI NAWHAA GAR
MURTAZAA SAR PE KHAAK UD-HAA-TE HAI
CHHOD KAR GAR HUSEIN JAA-TE HAI

KYAA WAJ-HA HAI BATAAEN SHAA-HE MUBIN
AMMAA BEH-NEN PHUPHI BHI SHAAD NAHIN
GHAM SE AALUDAA HAI HAR-EK KI JABIN
UMR BHAR KO BICHHAD NA JAAUN KAHIN
MURTAZAA SAR PE KHAAK UD-HAA-TE HAI
CHHOD KAR GAR HUSEIN JAA-TE HAI

SHEH-NE FARMAA YAA JO BHI MAR-ZI-E RAB
MAI BATAA DETAA HUN ALAM KAA SABAB
GHAM BICHHAD NE KAA TUM-SE HAI AGH-LAB
ISS LIYE HAI HAR-EK JABIN PE TA-AB
MURTAZAA SAR PE KHAAK UD-HAA-TE HAI
CHHOD KAR GAR HUSEIN JAA-TE HAI

KISS ZUBAAN SE BAYAAN HO WOH MANZAR
JAB CHA-LE GAR SE SHAA-HE BEH-RO-BAR
THAA MADI-NE MEN EK BAPAA MEHSHAR
THE ANI-SE HUSEIN NAVHAA GAR
MURTAZAA SAR PE KHAAK UD-HAA-TE HAI
CHHOD KAR GAR HUSEIN JAA-TE HAI