Anjuman E Sakina



ASIR HOKE CHALI HUN SALAAM Al BAABAA
YAHAAN SE JAATI HUN ZINDAANE SHAAM Al BAABAA

SUNO SAKINAASE GHAM KA PAYAAM Al BAABAA
HAMAARE JAL GAYE SAARE KHAYAAM Al BAABAA
KAHAAN KAHAAN HO NA JAANE QAYAAM Al BAABAA
HAI WAJHE ZIST TUMHAARAA HI NAAM Al BAABAA

SUAAM HAI SHAAM KA DARBAAR JAB BHARAA HOGAA
YAZID KA SARE DARBAAR SAAMNAA HOGAA
MERAA TO BHAAI BHI ZANJIRSE BANDHAA HOGAA
PHUPHI JO AAYEGI DARBAAR MEN TO KYAA HOGAA

ABHISE SHAAM KO JAANE Kl IBTIDAA DEKHO
RASANSE GUT-TAA HAI BAABAA MERAA GALAA DEKHO
PHUPHI KE SARSE BHI TO CHHIN LI RIDAA DEKHO
YEH IBTIDAA HAI TO KYAA HOGI INTIHAA DEKHO

JO PUCHHO SABR TO MAI FAATEMAA Kl POTI HUN
MAI APNE KUNBE Kl MAZLUMIYAT KO ROTI HUN
TUMHE NA PAA-KE BOHOT DILFIGHAAR HOTI HUN
CHACHAAKE SAR-E BURIDAA PE JAAN KHOTI HUN

NA PUCHHO HAALAT-E BIMAAR-E KARBALAA BAABAA
HAMAAR-E HAI YEHI SALAAR-E QAAFELAA BAABAA
KHUSHISE SEH GAYE HAR ZULM HAR JAFAA BAABAA
HAI AAJ SHAAM Kl MANZIL KA MARHALAA BAABAA

YEH MERAA AAKHERI ABTO SALAAM LO BAABAA
JO HO SAKE TO GALAA AAKE KHOLDO BAABAA
ZARUR AANAA BULAAUNGI AAPKO BAABAA
DUAA KARO MUJHE IZAA NA AUR HO BAABAA

HAI AB BHI PESHE NAZAR WAAQE-AATE KARBO BALAA
WOHI HAI SHIMR KA KHANJAR WOHI HAI SHEHKA GALAA
WOHI HAI SHAAM KA BAAZAAR AUR WOHI KUFAA
URUJ AB BHI SAKINM Kl AARAHI HAI SADAA