Anjuman E Sakina



DUKHIYAARIKA LAASHAA HAI ANDHERE MEN YAA KHUDAA
KYAA AB BHI YEH CHAARAAG JALAAYAA NA JAAEGAA

DHUNDHUN KAHAAN PE BAALI SAKINAA KIDHAR GAYI
BARBAAD MAAKO AUR BHI BARBAAD KAR GAYI
MAI BAD-NASIB USKE BAJAAE NA MAR GAYI
KAISI YEH AUR MUJHPE QAYAAMAT GUZAR GAYI

KUCHH DER BHI TO ZIYAARAT-E RU-E PlDAR NA KI
BAABAAKE PAAS JAANEKI MUJHKO KHABAR NA KI
MAADARKE HAALE ZAAR PE TUMNE NAZAR NA KI
KUCHH ROZ AUR SAATH MEN MAAKE BASAR NA KI

AA JAAWO BAABAA AAIYE KEH KEH KE ROTI THI
EK EK KO YAAD KARTI THI JAAN APNI KHOTI THI
FURQAT SE APNE AMMU KE EK PAL NA SOTI THI
BAANUN LIPATKE LAASHE SE RORO KE KEHTI THI

ABBAAS AAWO HAAL BHATIJIKA DEKH JAAO
AKBAR KE SAATH QAASIME NAASHAAD KO BHI LAAO
SARWAR KO AUR AVNO MUHAMMAD KO BHI BULAAO
SAB AAWO MIL-KE NANHAASAA LAASHAA ZARAA UTHAAO

MARKAR BHI RIIS MAASE NA BIBI GALAA KHULAA
QAID-E SITAMSE HO NA SAKI MARKE BHI RIHAA
BAAHER NA QAID KHAANESE MARQAD TERAA BANAA
RUKHSAAR PAR TAMAACHON KA BAAQI NISHAAN RAHAA

KAISI BIGAD GAYI MERI TAQDIR KYAA KARUN
BHAAI KE PAAS JAATI HAI HAMSHIR KYAA KARUN
KISKO BULAAUN HAAE MAI DILGIR KYAA KARUN
GHUSLO KAFAN Kl KUCHH NAHIN TADBIR KYAA KARUN

AABID NE TAVQO HATHHKADI BEDI SAMBHAAL KAR
ZINDAAN MEN QABR NANHISI KHODI BA-CHASHME TAR
DAFNAAKE BOLE FAATEHAA SAB PAD-H LO QABR PAR
BAANUN ANIS KEHTI RAH I THAAM KAR JIGAR