Anjuman E Sakina



YAA ALI YAA ALI YAA ALI YAA ALI
YE BOLI ZAINAB-E MUZTAR
LAEEN NE CHHIN LI CHAADAR

HAMAAR-E BHAAI KO SAJDE MEN AAH MAARAA HAI
BAHEN KE SAAMNE BHAAI KAA SAR UTAARAA HAI
RAWAAN THAA SHIMR KAA KHANJAR
JALAA DAALAA HAI MERAA GAR

ASIR KAR KE HAMEN SHAAM LE CHAL-E AADAA
FAQAT SAHAARAA HAI BIMAAR GHAM KE MAARON KAA
SADAA YE DETI HAI DUKHTAR
MADAD KO AAIYE HAIDAR

LAEEN NE QAID KIYAA SAB KO QAID KHAANE MEN
SAKINAA CHAL BASI RO RO KE GHAM UTHAA NE MEN
YE BOL-E AABID-E MUZTAR
BANAAUN QABR MAI KYUN KAR

NA AAYAA REHM ZARAA BHI KISI SITAM-GAR KO
SAKINAA ROTI HAI CHHINAA HAI US KE GAVHAR KO
SIDHAA-RE DASHT KO SARWAR
HAI KOVN MUNIS-O YAAWAR

TUMHAARI BETI PE GHAM KAA PAHAAD TUTAA HAI
SIPAAH-E SHAAM NE GAR BAAR MERAA LUTAA HAI
PADAA HAI WAQT JO HAMPAR
BAYAAN KAISE HO MANZAR

GAHEN MEN AAGAYAA KHURSHID BAADE QATL-E HUSEIN
UTTHI THI CHAARO TARAF SE SADAA-E SHOR-O SHAIN
SINAA PE THAA SAR-E SARWAR
THI QAIDI AAPKI DUKHTAR