Anjuman E Sakina



YAA ALI ADRIKNI - YAA ALI ADRIKNI
HAAE BE-AAB HUWE QATL HUSEINI HASANI
DASHT MEN LOOTI GAYI AALE RASULE MADANI

DASHT WOH TAPTAA HUWAA DHOOP MEN AALE IBAA
KHAAK PE BAITHAA HUWAA KARTAA HAI ROKAR BUKAA
KAISI TAQDIR MEN LIKHKHI THI GHARIBUL WATANI

SHAAHKA WOH NUSRATI KAISAA HUWAA JANNATI
ZAANU-E SIBTE NABI AUR SARE HURRE JARIH
KOI HUR JAISAA NAHIN DUNIYAA MEN QISMATKA DHANI

FAATEMAA ZEHRAA KA LAAL PYAAS-SE RANME NIDHAAL
AATAA HAI AKSAR KHAYAAL KISSE KARUN YEH SAWAAL
MAALIKE KAWSARO TASNIM AUR YEH TASHNAA DAHANI

BACHCHAA BHI CHHE MAAHKA PYAAS-SE TADPAA KIYAA
TIRE SITAM KYAA CHALAA CHHID GAYAA NANHAA GALAA
TIR SEH PEHLU AUR ASGHAR Kl YEH GHUNCHAA DAHANI

KEHTI THI ROKAR YEH MAA HAAE MERAA BE-ZUBAAN
HAAE YEH NANHISI JAAN TUTAA NA KYUN AASMAAN
YEH SITAM AUR MER-E ASGHAR Kl YEH NAZUK BADANI

HAAE WOH KADIYAL JAWAAN GIR PADAA KHAAKAR SINAA
RODIYAA YEH AASMAAN BAAPKA AZMEN JAWAAN
SHAAHEDIN KHENCHTE HAI SINESE BARCHHIKI ANI

LAASHPE KEHTI HAI MAA AI MER E KADIYAL JAWAAN
SAAL THAA ATHTHAARWAAN HAAE YEH ZAKHMEN SINAAN
DEKHIYE AAKE JAWAAN LAALKI GUL-PAIRAHANI

SAYYADE ABRAAR HAI NARGHAE KUFFAAR HAI
DAR PA-E AAZAAR HAI TIRONKI BOCHHAAR HAI
JISM SHABBIR KA TIRONSE HAI CHHALNI CHHALNI

ZAINABE AALI MAQAAM TUMPE HAI LAAKHON SALAAM
UMMATE KHAIRUL ANAAM KHUB KIYAA EHTERAAM
BE-RIDAA SAANI-E ZEHRAA HUWI BAAZU RASANI