Anjuman E Sakina



KHOKE APNE PYAAROnKO JAATI HAI WATAN ZAINAB
KYA KYA LE CHALI DILPAR DAAGH OR MEHAN ZAINAB

QAID MEn SAKINAKI QABR EK BANAAI HAI
DAVLATE RABAAB USME JABRSE CHHUPAAI HAI
BAAD ISSKE HAAKIMNE KEHDIYAA RIHAAI HAI
SHAAM MEn SAF-E MAATAM KEHKE YEH BICHHAAI HAI

PEHLI MAJLISE SARWAR ISS TARHA HUWI BARPAA
ZAAKIRAA THI KHUD JISKI BINTE FAATEMAA ZEHRAA
SHOR-E AAHO ZAARI THAA SHAAM MEn QAYAAMATKA
PURSAA DENE WAALOnKE LABPE THAA YEHI NAWHAA

TIN RAAT O DIN GUZRE YUnHI KARTE SHOR-O SHAIN
HAAE TASHNA LAB BEKAS HAAE SAYYADE KAVNAIN
HAAE QAASIMO AKBAR FAATEMA KE DILKE CHAIN
SHAAMKE HAR EK GHARSE AATI THI SADAAE BAIN

AL GARAZ WIDAA HOKAR QABRSE SAKINAAKI
UJDAA QAAFELAA LEKAR DASHTE KARBALAA AAYI
NAAQESE GIRI ZAINAB KEHKE BE-WATAN BHAAI
MARQADE BIRAADAR PAR GUTNIYOnKE BAL POnCHHI

KARBALAAKE SEHRAA MEn DAFN HO CHUKE LAASHE
ZIRE KHAAK SOTE HAI BHAAI BHAANJE BETE
HASHR HAI AYAAn RANME AISE MEn KAHE KAISE
BIBIYOn CHALO AB GHAR UTHHO IN MAZAAROnSE

EK SIMT DO QABREn AISI HAI SARE MAIDAAn
JINKAA KOI BHI ABTAK DASHT MEn NAHIn PURSAA
BADKE BEKASI BOLI INKI DEKHO WOH HAI MAA
BHAAIKE JO MARQAD PAR KHO RAHI HAI APNI JAAN

MARQADE BIRAADAR PAR KARTI THI FUGHAAn ZAINAB
HOGAYI HAI HAD DARJAA AB YEH NATAWAAn ZAINAB
PHIR NA AASAKE SHAAYAD MILNE NIMJAAn ZAINAB
TAALIBE IJAAZAT HAI MIRE KAARWAAn ZAINAB

SUNKE BAIN ZAINABKE KAAMPA MARQADE SARWAR
PHIR MAZAARSE AAYI YEH SADAA KE AI KHWAAHAR
JAAWO GHAR KHUDAA HAAFIZ ISS TARHA NAHO MUZTAR
SABKA PURSAA SUGHRAAKO DENA TUM WAHAAn JAAKAR

ISS NIDAAKE AATEHI ISS QADAR HUWAA GIRYAA
JISKA HAI BAYAA DUSHWAAR MUSHKIL ISSKA HAI LIKHNAA
HAR ANIS KE LABPAR AL FIRAAQ NAWHAA THAA
KARBALAA KHUDAA HAAFIZ ALWIDAA DILE ZEHRAA