Anjuman E Sakina



ZAHRAA KABOOL KIJIYE PURSAA HUSAYN KAA
PYAASE KAA BEWATAN KAA SHAHE MASHRAQAIN KAA

JAB MAAHE MUHARRAM NE KHABAR GHAM KI SUNAA DI
RUKH KARKE BAQAYYAA KAA YE MOMIN NE SADAA DI
TASHRIF LAAYE FARSHE AZAA SHEH KAA BICHH GAYAA

MAZLOOM KE GHAM MEN HUWI MAGHMOOM KHUDAAI
PHIR NAAM PE PYAASON KE SABEELEN HAI LAGAAI
GHAR GHAR MEN HAI HUSAYN KI GHURBAT KAA TAZKIRAA

HAR MOD PE DHAARAS JO RAHAA BINTE ALI KI
WOH JISKI SHAHAADAT PE KAMAR SHEH KI JHUKI THI
US SHER KE KATE HUWE SHAANON KAA WAASTAA

AAYI JO MADINE MEN WOH ZINDAAN SE PALAT KAR
GHAR JAANE SE PEHLE GAYI MAADAR KI LAHAD PAR
ZAINAB NE MAA KI QABR PE DI PEHLI YE SADAA

GHAAZI KO ISI MAA NE SIKHAAYI THI WAFAAEN
BETON KE LIYE BHAR TI BHALAA KAISE WOH AAHEN
NAUHAA THAA YE BAQAYYAA MEN UMMUL BANEEN KAA

PARDES ME UMMAT NE JISE ZAKHM DIYE HAIN
EK DIN ME JISE DAAGH BAHATTAR KE MILE HAIN
US PAR SALAAM JISKAA BHARAA GHAR UJAD GAYAA

JINE NA DIYAA USKO MUSALMAANON NE BIBI
PAALAA THAA JISE AAP NE ARMAANON SE BIBI
HAAYE RULAA RULAA KE USE ZIB-HA KAR DIYAA