Anjuman E Sakina



HUSAYN AAJ HAI TANHAA HABIB AAJAAWO
KADAA HAI WAQT KHUDAAYAA HABIB AAJAAWO

YE KARBALAA HAI YAHAAN DOST KI ZARURAT HAI
YAHAAN TO MUJHSE BHI PEHLE TERI SHAHAADAT HAI
NAHIN HAI KOI HAMAARAA HABIB AAJAAWO

MERI NIGAAH ME AB KARBALAA KAA MAQTAL HAI
HUSAYNI FOUJ KI FEHRIST NAA MUKAMMAL HAI
HAI SAATH AB MERAA KUNBAA HABIB AAJAAWO

TUMHE HUSAYN KE HAQ ME JIHAAD KARNAA HAI
KIYAA THAA WAADAA JO BACHPAN ME YAAD KARNAA HAI
YEHI HAI FARZ TUMHAARAA HABIB AAJAAWO

WATAN SE DUR HUN MUJHPAR HUWE HAIN HAAYE GHAZAB
HAI HAJJ KO UMRE ME TABDEEL KARCHUKAA HUN AB
BADAL GAYAA HAI ZAMAANAA HABIB AAJAAWO

MOHIB HUSAYN NE HASRAT SE CHAARSU DEKHAA
ZAMEEN-E KARBOBALAA KO LAHU LAHU DEKHAA
LIKHAA YE AAKHERI FIKRAA HABIB AAJAAWO