Anjuman E Sakina



KAR RAHI THI LAASHA-E MUSLIM PE YE ZAHRAA BUKAA
YAA ALI KUFE ME PHIR AAYI HAI RONE SAYYADAA

AAP PAR JAB IBNE MULJIM NE KIYAA SAJDE ME WAAR
HAATH PEHLU PAR RAKHE YAAN AAYI THI MAI PEHLI BAAR
AAJ PHIR US HAAL ME ZAHRAA KO HAI AANAA PADAA

KUFE WAALON NE ISE MILKAR HAI MAARAA YAA ALI
LAASHA-E MUSLIM HAI AISE PAARAA PAARAA YAA ALI
JISM HAI SAARAA MERE BACHCHE KA ZAKHMON SE BHARAA

KIS TARHAA MAINE SAMBHAALAA KIS TARHA THAAMAA ISE
KYA BATAAUN MAI KHADI THI HAATH PHAILAAE HUWE
DAARUL IMMAARAA SE JAB THAA LAASHA-E MUSLIM GIRAA

KUCHH HI DIN ME PHIR YAHAAN AAWUNGI MAI ROTI HUWI
ISKE BACHCHON PAR CHALEGI JAB KE HAARIS KI CHHURI
MAI SAMBHAALUNGI UNHE AAKAR RUQAYYAA KI JAGAA

DUSHMANI AALE NABI SE IS TARHA DIKHLAAENGE
YUN MUHAMMAD AUR IBRAAHIM MAARE JAAENGE
NAAM KAA BHI PAAS RAKHENGE NA KUCHH EHLE JAFAA

KAR RAHE HAIN ZULM KI TAFSEER YE CHEHRON KE NEEL
KAT RAHI HAI AAJ JO DAR DAR YE AULAADE AQEEL
HAI YAQEENAN YE MERE BACHCHON SE ULFAT KI SAZAA

BAIN THE AKBAR ZABAANE SAYYADAA PAR BAS YEHI
SAATH ZAINAB KE YAHAAN PHIR MUJHKO AANAA HAI ABHI
SHAAM TAK LEJAAUNGAA KUFE SE GHAM KA SILSILAA