Anjuman E Sakina



BEHTAA HAI KHUN-E HAIDAR KUFE ME KARBALAA ME
ZEHRAA KAA GHAR LUTAA HAI HAAE RAHE KHUDAA ME

EK FAJR PAR HAI SAJDAA EK SAJDAA PUR ASAR HAI
EK SIMT PAR HAI BETAA EK SIMT PE PADAR HAI
KYAA FARQ HAI BATAAWO DONON PE IS JAFAA ME
KUFE ME KARBALAA ME

KUFE ME MURTAZAA KI BETI PE HAI YATEEMI
SHABBIR KI YATEEMAA KARBOBALAA ME UJDI
HAI ZAINAB-O SAKINAA EK DARD KI FIZAA ME
KUFE ME KARBALAA ME

KULSOOM AUR ZAINAB PARHTI RAHI HAIN NAUHAA
BAABAA KO ZAKHMI DEKHAA BHAAI KO ZAKHMI DEKHAA
MANZAR HAI EK JAISAA IS DEHR-E BE WAFAA ME
KUFE ME KARBALAA ME

MAALUM THAA ALI KO SAJDAA NA HOGAA PURAA
SARWAR KO BHI PATAA HAI AB AAKHERI HAI SAJDAA
SAR KO JHUKAAYAA PHIR BHI TAAZIME KIBRIYAA ME
KUFE ME KARBALAA ME

QAASIM KE HO WO TUKDE YAA HO GULU-E ASGHAR
AKBAR KAA HO WO SINAA YAA BAAZU-E DILAAWAR
IMRAAN KAA KHUN BAHAA HAI HAAE BUGHZ-E MURTAZAA ME
KUFE ME KARBALAA ME

SALMAAN AUR MISAM TAARIKH HAI BATAATI
GUZRI HAI ZINDAGI BAS AWLAAD-E SAYYADAA KI
MAATAM ME MURTAZAA KE SHABBIR KI AZAA ME
KUFE ME KARBALAA ME