Anjuman E Sakina



BETI KI LAHED PAR EK DUKHIYAA MAA KARTI THI YE ZAARI
UTHJAA MERI BACHCHI UTHJAA AB KOOCH KI HAI TAYYAARI

THAA SAB SE ZIYAADAA JAAN MERI
ARMAAN RIHAAI KAA TUJHKO
SAB QAIDI CHHUT KAR JAATE HAIN
KYUN UTH-TI NAHIN DUKHIYAARI

ZINDAAN ME AB ROUSHAN HAI DIYAA
AB AANE LAGI HAI THANDI HAWAA
AB BANDH NAHIN ZINDAAN KAA DAR
UTH MERI GHAMON KI MAARI

UTHJAA MAI TUJHE TAYYAAR KARUN
KHUN RUKHSAARON SE SAAF KARUN
MATTI KO HATAAWUN BAALON SE
AI MERI RAAJ DULAARI

UTH DEKH ZARAA BHAAI KI TARAF
KYAA HAAL HAI TERI FURQAT ME
TUJHE DUNDH RAHAA HAI RO RO KAR
AANKHON SE KHUN HAI JAARI

AB SAR PE RIDAA BHI HAI MAA KE
AB HAATH KHULE HAIN DEKH MERE
MAI GOD ME LELUNGI TUJH KO
AB KOI NAHIN LAACHAARI

MAI TERE BINAA NAA JAAUNGI
RORO KE YAHIN MARJAAUNGI
BETI KI LAHED PE YE KEHKAR
GHASH KARGAYI MAA DUKHIYAARI

WO BACHCHI JISE RONE NA DIYAA
JO KAR NA SAKI MAATAM GAUHAR
AB SAARE JAHAAN MEN USKE LIYE
HOTI HAI MAATAM DAARI