Anjuman E Sakina



HOGAYAA MAATAM BAPAA QATL HUWE MURTAZAA
KULSOOM YEHI KARTI THI NAUHAA
GHAR FAATEMAA ZEHRAA KAA LUTAA, AI MERE ALLAAH

JIBREEL KE LAB PE HAI YEHI BAYN HO MAATAM
AI LOGO KARO HAIDAR-E KARRAAR KAA MAATAM
MARQAD ME BUKAA KARTI HAI MAKHDUMA-E AALAM
ZAINAB YE BUKAA KARTI HAI LAACHAAR HUWE HAM
SAB BIBIYAAN GHASH KHAATI HAI GHAM SE
FIZZAA KE LABON PAR HAI SADAA, AI MERE ALLAAH

HOTI HAI SADAA ARSH-E ULAA SE ZAMEEN PAR
SHABBIR SE SHABBAR NE KAHAA HAAYE BARAADAR
TAAZAA HAI KALEJE ME ABHI FURQAT-E MAADAR
LO BAAP KAA SAAYAA BHI UTHAA HAAYE MUQADDAR
AAGHAAZ HAI YE KARBOBALAA KAA
DIL ROKE YEHI KEHNE LAGAA, AI MERE ALLAAH

DETE HAIN SADAA MASJID-E KUFAA ME NAMAAZI
LO HAM SE JUDAA HOTAA HAI KAUNAIN KAA HAADI
ZAKHMI HUWI SAJDE ME JABEEN SHER-E KHUDAA KI
KAABAA BHI BUKAA KARTAA THAA MEHRAAB-E AZAAN BHI
HAR EK NAMAAZI KI SADAA HAI
YE KOH-E ALAM HAM PE GIRAA, AI MERE ALLAAH

KUFE KE DAR-O BAAM LARAZNE LAGE GHAM SE
JAARI HUWAA SAILAAB HAR EK DEEDA-E NAM SE
IS GHAM KO KOI PUCHHE ZARAA EHLE HARAM SE
YE DARD BAYAAN HOGAA KAHAAN EHLE KALAM SE
YE DARD QAYAAMAT SE NAHIN KAM
KEHTI HAI YE KUFE KI FAZAA, AI MERE ALLAAH

DIL THAAM KE KARTI HAI BUKAA ZAINAB-E MUZTAR
YE TEGH-E JAFAA KISNE CHALAAYI HAI PADAR PAR
HASNAIN SE KEHTI HAI KHABAR LAAO TO JAAKAR
LOGON KI BUKAA SUNKE TADAPTI HAI YE KHWAAHAR
YE NAALA-O SHEWAN KI SADAA HAI
DHAATI HAI MERE DIL PE JAFAA, AI MERE ALLAAH

AL-QISSA JUHIN LAAYE PISAR ZAKHMI PADAR KO
SARWAR NE KAHAA ZAINAB-O KULSOOM SE AAWO
TAR KHUN ME BAABAA KI JABEEN HOTI HAI DEKHO
FARIYAAD BAHEN KARNE LAGI THAAM KE DIL KO
KYAA DAAGH-E YATEEMI MAI SAHUNGI
YE GHAM HAI QAYAAMAT SE BADAA, AI MERE ALLAAH

JARRAAH KO BULWAAO YE SHABBAR KE SUKHAN THE
WO AAKE MERE BAABAA KE IS ZAKHM KO DEKHE
THI ZEHR ME DUBI HUWI TALWAAR SUNAA HAI
YE ZEHR KAHIN DAAGH-E YATEEMI NA DIKHAA DE
JARRAAH NE JAB ZAKHM KO DEKHAA
SAR PIT KE KARTAA THAA BUKAA, AI MERE ALLAAH