Anjuman E Sakina



HAAYE HUSAINAA HAAYE HUSAINAA HAAYE HUSAINAA
SATTAR QADAM THAA SAANI-E ZAHRAA SE FAASLAA
MAI DEKHTI THI BHAAI KAA KAT-TE HUWE GALAA

AAGE KABHI BARHI KABHI PICHHE PALAT GAYI
GHABRAAKE MUJH SE SHAAH KI BETI LIPAT GAYI
AAKNHON PE MAI NE HAATH SAKINAA KE RAKH DIYAA

EHLE HARAM KHADE HUWE TILE PE SAATH THE
ZULFON ME IBNE ZAHRAA KI ZAALIM KE HAATH THE
QURAAN PAR THAA ZAANU SITAMGAR RAKHAA HUWAA

DETI RAHI HAR EK KO ZAINAB TASALLIYAAN
SEHMI HUWI THI FAATEMAA ZAHRAA KI BETIYAAN
SAANSE HARAM KI RUKGAYI KHANJAR NAHIN RUKAA

SAR KO JUKAA KE MUJH KO GALE SE LAGAALIYAA
AANKHON KO MERI CHUM KE ROTE THE MURTAZAA
SHAAME GHARIBAAN UNSE LIPAT KAR YE JAB KAHAA

SUKHE GALE PE HAATH THE BINTE RASOOL KE
ZAKHM AUR TAAZAA HOGAYE AMMAA BATOOL KE
DUBI HUWI THI KHUN ME AAGHOSH-E FAATEMAA

NAAGAAH KARBALAA ME CHALI SURKH AANDHIYAA
DEKHAA GAYAA KISI SE NA GHURBAT KAA YE SAMAA
MUNH APNAA PHER PHER KE ROTE THE AMBIYAA

HASRAT SE BAS FURAAT KI JAANIB NIGAAH KI
MAZLOOM NE KHUD APNI GHARIBI PE AAH KI
HAR ZARB PE WO DETAA THAA ABBAAS KO SADAA

ROROKE BAS YE KEHTI RAHI ALWIDAA AKHI
DIL KAT RAHAA THAA SAATH ME ZAINAB KAA US GADI
HANS HANS KE SHIMR MERI TARAF DEKHTAA RAHAA

ROENGE PURSAA DENGE SUBAYYAB YE MAATAMI
AASHUR JAISAA HOGAA TAKALLUM WO ROUZ BHI
NAUHAA PARHENGI HASHR ME JAB BINTE FAATEMAA