Anjuman E Sakina



GIR-KAR KABHI UTHE KABHI RAKHAA ZAMEEN PE SAR
UGLAA LAHU KABHI TO SAMBHAALAA KABHI JIGAR
HASRAT SE KI KHAYAAM KI JAANIB KABHI NAZAR
KARWAT KABHI TADAP KE IDHAR LI KABHI UDHAR
UTH BAITHE JAB TO ZAKHMON SE BARCHHI KE PHAL GIRE
TEER AUR TAN BIKHADGAYE JAB MUNH KE BAL GIRE
JANGAL SE AAYI FAATEMAA ZEHRAA KI YE SADAA
UMMAT NE MUJH KO LUT LIYAA WAA MUHAMMADAA
IS WAQT KOUN HAQQE RIFAAQAT KARE ADAA
ZAINAB SE BOLI FAATEMAA ZEHRAA BASAD BUKAA

UNNEES-SO HAI ZAKHM TANE CHAAKH CHAAKH PAR
ZAINAB NIKAL HUSAIN TADAPTAA HAI KHAAK PAR

KIS CHAAH SE PAALAA ISE AANCHAL ME CHHUPAA KAR
MAI JAAGTI REHTI ISE RAATON ME SULAA KAR
CHAKKI BHI JO PEESI HAI TO GODI ME BITHAA KAR
KIS HAAL ME DEKHAA HAI ISE DASHT ME AAKAR

HAI KOUN JO MAZLOOM KO TEERON SE BACHAAYE
SEH ROZ KE PYAASE KO KOI PAANI PILAAYE
ZAKHMON ME BHARI KHAAK KOI KHAAK CHHURAAYE
HAR LAASH UTHAAYI HAI ISE KOUN UTHAAYE

ABBAAS KE MARNE SE KAMAR TUT CHUKI HAI
AKBAR KE BICHHAD JAANE SE BINAAYI GAYI HAI
IN AANKHON ME BESHEER KI TURBAT BHI BANI HAI
HAI AAKHERI LAMHAA AJAL SAR PE KHADI HAI

KUCHH DER ME KHANJAR MERE BACHCHE PE CHALEGAA
AFSOS DAME ZIBHA BHI PAANI NA MILEGAA
KHANJAR KI KAEEN ZARBON SE SAR ISKAA KATEGAA
GHAYYUR HAI BETAA MERAA HARGIZ NA KAHEGAA

BAAQI HAI ABHI JAAN TERAA BHAAI HAI ZINDAA
GODE KAHIN DOUDAA NA DE BEDARD HAIN AADAA
HAI HAI KOI BEKAS KO NAHIN PUCHHNE WAALAA
BHAAI SE MUHABBAT HAI TO MAQTAL ME CHALI AA

YE BAYN MAI SUNTI HUN TERE BAABAA ALI SE
HOJAAENGE PAAMAAL ABHI LAASHE SABHI KE
KUCHH MARHALEN BAAQI HAI GHARIBUL WATANI KE
JAA HAAL ZARAA DEKH LE IS KHAAS AKHI KE

AAJIZ HAI YAHAAN AAKE HAR EK SUKHANWAR
FARHAAN ANIS-E SHAHE WAALAA HO KE MAZHAR
LIKH PAAYAA NAHIN AAJ TALAK KOI WO MANZAR
JAB KEHTI THI ZAINAB SE MERI BIBI TADAP KAR