Anjuman E Sakina



DUNIYAA ME KOI AISAA GHARIBUL WATAN NA HO
LAASHAA TO PAAEMAAL HO GORO KAFAN NA HO

SUKHI RAGOn PE CHALTI HUWI TEGH NE KAHAA
HAI HAI KOI HUSAIN SAA TASHNAA DAHAN NA HO

SHAHERAG PE DEKHE BHAAI KE CHALTE HUWE CHHURI
MAJBUR IS QADAR BHI KISI KI BAHAN NA HO

MAATAM BHI KAR SAKE NA BIRAADAR KI LAASH PAR
ZAINAB KI TARHA KOI ASEERE RASAN NA HO

SUGHRAA SE JIS TARHAA ALI AKBAR BICHHAD GAYE
BHAAI SE YUn JUDAA KABHI KOI BAHAN NA HO

AKBAR KE SAR KO DEKH KE KEHTE THE EHLE SHAAM
YAA RAB KISI KE CHAAND KO AISE GAHAN NA HO

QAIDI HO AUR SAATH Hon MAA BEHNE NANGE SAR
SAJJAAD JAISAA KOI ASEERE MAHAN NA HO

LUTAA GAYAA HAI JAISE GULISTAAn RASOOL KAA
BARBAAD IS TARHAA SE KISI KAA CHAMAN NA HO

JAISE RASOOL ZAADIYAAn DAR DAR PHIRI SUHEIL
AI KAASH IS TARHAA SE KOI BE WATAN NA HO