Anjuman E Sakina



HUSAIN AL GHAREEB AL GHAREEB AL HUSAIN
HUSAIN ASH SHAHEED ASH SHAEED AL HUSAIN

DUHAAYI DUHAAYI KHUDAARAA DUHAAYI
YE DASHTE BALAA ME HAI KAISI TABAAHI
BAHAAYAA HAI KISNE YE KHUNE MUHAMMAD
QAYAAMAT YE DHAAYI HAI KISNE ILAAHI
JAWAANO BUZURGON KO MAARAA GAYAA HAI
SHAHEEDON ME SHAAMIL HAI NANNAA SIPAAHI

KIYAA JASHN BARPAA YUN EHLE HAWAS NE
SHAHEEDON KE LAASHON PE DANKE BAJAAYE
JALAA DAALE AALE MUHAMMAD KE KHAIME
SAKINAA KE MUNH PAR TAMAACHE LAGAAYE
JO BIMAAR THAA USKAA BISTAR NA CHHODAA
NABI ZAADIYON PAR BHI DURREN CHALAAYE

UTHI APNE MARQAD SE BINTE MUHAMMAD
SIYAAH SHAB KI CHAADAR ME CHEHRAA CHHUPAA KAR
GAYI KARBALAA ME TO USNE YE DEKHAA
HAI BOSIDAA KURTE ME EK LAASHE BESAR
BADAN SAARAA TEERON SE CHHALNI PADAA HAI
LAHU ME HAI DUBAA HUWAA SAARAA PAIKAR

TADAP KAR WO CHILLAAYI SHABBIR BETAA
LAHU ME NAHAAYE HO SAR BHI JUDAA HAI
TABAR KISNE MAARE HAIN SAARE BADAN PAR
YE TEERON KE KISNE JANAAZAA RAKHAA HAI
KAHAAN HAI MERAA LAAL ABBAAS BOLO
MAI PUCHHUNGI USE YE KAISE HUWAA HAI

SADAA SUNKE ZAHRAA KI THARRAAYE GHAAZI
JUDAA TAN SE SAR THAA TO SHAANE KATE THE
GHAM-O YAAS-O HASRAT ME MAJRUH-O MUZTAR
KAHE KYAA KE DARIYAA KANAARE PADE THE
SU-E ALQAMAA AB JO BIBI NE DEKHAA
WAFAAON KE SAAHIL PE JHANDE GADE THE

IDHAR DARD-O GHAM KI SATAAYI THI ZAINAB
JO WEHSHAT KE JUNGALE ME HAIDER BANI THI
KABHI KHAAK URHAATI KABHI ASHQ PITI
JO KUNBE KE PEHRE PE TANHAA KHADI THI
SAKINAA KE SAQQAA KO AAWAAZ DE KAR
GHAME SHAAHE DEEN ME BUKAA KAR RAHI THI

KABHI DIL ME DETI THI MAA KO SADAAEN
KABHI RO KE KEHTI KE BAABAA KAHAAN HO
SHAHEEDON KAA NAUHAA THAA USKI ZABAAN PAR
ABAD KIS TARHA USKE GHAM KAA BAYAAN HO
HAMEN BHI SA-AADAT HO NUSRAT KI HAASIL
KHUDAARAA ZAHOOR-E IMAAME ZAMAAN HO