DASHT ME IBNE HASAN PAR WAQT KAISAA AAGAYAA
EK GATHRI ME FAQAT QAASIM KAA LAASHAA AAGAYAA
CHAAR KAANDHON PAR JANAAZAA GHAR ME AATAA HAI MAGAR
EK HI KAANDHE PE YE ISKAA JANAAZAA AAGAYAA
JIS TARHA CHUNTAA HAI MAALI PHUL APNE BAAGH KE
TUKDE YUN QAASIM KE CHUN-NE NERAA MAULAA AAGAYAA
CHUM KAR TAAWIZ SARWAR DER TAK ROTE RAHE
BHAAI KE LAFZON ME JAANE YAAD KYAA KYAA AAGAYAA
LAASH KO TARTIB JAB DENE LAGAA ZAHRAA KAA LAAL
BAARHAA MAULAA KI AANKHON ME ANDHERAA AAGAYAA
BAAP KAA TAAWIZ THAA BETE KE BAAZU PAR BANDHAA
IS LIYE PEHCHAAN ME QAASIM KAA LAASHAA AAGAYAA
MAATAMI KE GHAR ME AKBAR JABI KOI DULHAA BANAA
YAAD SAB KO KARBALAA WAALE KAA CHEHRAA AAGAYAA