Anjuman E Sakina



YAA GHAAZI ALAMDAAR YAA GHAAZI ALAMDAAR
ABBAAS ABBAAS YAA GHAAZI ALAMDAAR
SHUD BULANDI SE ALAMDAAR GIRYA-E ZAINABE GHAMKHWAAR
ABBAAS ABBAAS YAA GHAAZI ALAMDAAR

AB YAQEEN HOGAYAA HOGI MERI BAAZU ME RASAN
JAAEGI SHAAM KI BAAZAAR ME BEPARDAA BAHAN
DUN SADAA KISKO MADADGAAR
MERE JAABAAZ WAFAADAAR

MERE PARDE KE MUHAAFIZ MERAA SINAA HAI FIGHAAR
MAI KATE HAATHON PE QURBAAN TERE SHAANON KE NISAAR
AI MERE GHAAZI ALAMDAAR
TASHNALAB HAASHMI JARRAAR

HOTAA HAI ITRATE ATHAAR ME MAATAM DEKHO
KAISAA ZAINAB PE HAI TANHAAYI KAA AALAM DEKHO
HAI QAYAAMAT KE YE AASAAR
SAANI YE HAIDAR-E KARRAAR

SEHMI SEHMI HAI SAKINAA KO TASALLI DEDO
NEHR SE AAKE HAZINAA KO TASALLI DEDO
MOHSIN-E ITRATE ATHAAR
ZULM DHAATE HAIN JAFAAKAAR

GHAM SE DIL PHAT-TAA HAI AAWAAZ SUNAADO BHAIYYAA
KAISE BACHCHON KO TASALLI DUN BATAADO BHAIYYAA
SUNLO FARIYAAD WAFAADAAR
SOGAYE YAAWAR-O ANSAAR

MUJHSE SAB CHHUTGAYE PAR MOUT NA AAYI BHAIYYAA
KAISE SEHPAAUNGI MAI TERI JUDAAYI BHAIYYAA
SHAAHE WAALAA KE TARAFDAAR
KYAA KARE GHAM KI GIRAFTAAR

KAISE BACHCHON NE BHI AB TOD-DIYE HAIN KUZE
BAITHE HAIN RANJ-O GHAM-O YAAS KI TASWEER BANE
LUTGAYI PYAASON KI SARKAAR
YAAWARE SAYYADE ABRAAR

WAADAA KARTI HAI KE PAANI KAA KAREGI NA SAWAAL
JINAA GHAM ME HAI TERE BAALI SAKINAA KAA MUHAAL
MERE MUNIS MERE GHAMKHWAAR
GHAM SE JINAA HUWAA DUSHWAAR

BAYN KAISE LIKHE ZAINAB KE AYAAZ-O RAAQIM
SUNKE YE NAUHAA BUKAA KARTI THI AALE HAASHIM
QUWWATE SAYYAD-E ABRAAR
KUSHTA-E TEGHE JAFAA KAAR