Anjuman E Sakina



AAP KAA LAAL MADINE SE SAFAR KARTAA HAI
WAADAA TIFLI KAA ADAA NOOR-E NAZAR KARTAA HAI

QABRE ZEHRAA PE YE FARMAATE HAIN RORO KE HUSAYN
DIL HUWAA JAATAA HAI FURQAT ME ALAM SE BECHAYN
AMMAA JAATAA HAI WATAN CHHOD KE YE NUR-E AYN

HAI YAQEEN DIL KO MERE SAATH RAHOGI TUM BHI
HONGE JO MUJHPE SITAM UNKO SAHOGI TUM BHI
MARHABAA MERI SHAHAADAT PE KAHOGI TUM BHI

DI HAI ISLAAM NE NUSRAT KI DUHAAI AMMAA
MAARE DAALEN HAI YE EHSAASE JUDAAI AMMAA
HAI MERE KHUN KI PYAASI YE KHUDAAI AMMAA

AAP KI QABR SE BICHHRUN TO YE MANZOOR KAHAAN
NAATAWAAN DIL PE GIRAA RANJ KAA EK KOHE GIRAAN
AMMAA IS HAAL BAYAAN SE MERI KHAASIR HAI ZABAAN

DIL PHATAA JAATAA HAI TAKLIF AJAB HOTI HAI
ZINDAGI SHAAM-O SAHAR ASHQON SE MUNH DHOTI HAI
MOUT BHI MERI MUSIBAT PE KHADI ROTI HAI

HAAN MAGAR FARZ IMAAMAT KAA ADAA KARNAA HAI
DEEN KE WAASTE SAAMAANE BAQAA KARNAA HAI
AUR BAATIL KI HUKUMAT KO FANAA KARNAA HAI

MUJHKO IS RAAH ME GHAR-BAAR LUTAANAA HOGAA
LOUT KE APNE WATAN PAR NAHIN AANAA HOGAA
AMMAA PARDES ME DUSHMAN YE ZAMAANAA HOGAA

APNE AKBAR SAA JAWAAN LAAL KO KHONAA HOGAA
DASHT ME ASGHARE BESHEER KO RONAA HOGAA
KHAAK PE BETI SAKINAA KAA BICHHONAA HOGAA

KHAIMA-E EHLE HARAM ME WO QAYAMAT HOGI
RAN ME JAB HAZRATE QAASIM KI SHAHAADAT HOGI
TASHNALAB BACHCHON PE YE AUR MUSIBAT HOGI

KUSHTAE ZULM MUHAMMAD KE DULAARE DILBAR
DASH ME TUJHPE JO GUZRE WO MASAAEB SUNKAR
UMR BHAR ROTE RAHENGE YE AYYAAZ-O AKHTAR