Anjuman E Sakina



ZAHRAA TERI TURBAT PE DIYAA KOUN JALAAYE
YE DARD AZAADAARON KO BARSON SE RULAAYE
DIYAA KOUN JALAAYE

NAAZIL NA HUWI KOI BHI TUM JAISI SADIQAA
UMMAT NE SITAM AISE KIYE HOGAYI ZAEEFAA
PHIR TERE MASAAEB KO BHALAA KAISE BHULAAYE

THODI SI JAGAA PAAS AGAR BAABAA KE PAATI
DUNIYAA TERE ROUZE KO NA IS TARHA GIRAATI
REHTE NA TERI QABR PE YUNH DHUP KE SAAYE

AI SAYYADAA DUNIYAA KO HAYAA BAATNE WAALI
LOGON NE TERI QABR PE CHAADAR BHI NA DAALI
TURBAT PE SHARAAFAT HAI KHADI ASHQ BAHAAYE

SARKAARE RISAALAT KO BHI TUM RO NA SAKI HO
PEHLU PE YUN DARWAAZA GIRAA SO NA SAKI HO
KYAA KYAA NA SITAM TUM PE MUSALMAANON NE DHAAYE

WO SAAMNE GHAASIB KE TERAA ASHQ BAHAANAA
ZAALIM KAA WO TEHREER KE TUKDON KO URHAANAA
JAB SONCHTAA HAI KOI NIKAL JAATI HAI HAAYE

GHAR LOUT KE DARBAAR SE JIS WAQT TU AAYI
ZAINAB BHI TUJHE SAYYADAA PEHCHAAN NA PAAYI
ALLAH KISI KO BHI NA DIN AISE DIKHAAYE

UMMAT NE TERE DAR KAA HAI DARWAAZAA JALAAYAA
DARWAAZAA WO PEHLU PE TERE AISE GIRAAYAA
PEHLU SE KABHI HAATH NAHIN TU NE UTHAAYE

TU BINTE MUHAMMAD HAI TU HASNAIN KI MAA HAI
TURBAT TO TERI DUNIYAA ME GHURBAT KAA NISHAAN HAI
TAARIKH TERE DARD KO KIS TARHA CHHUPAAYE

AI MALIKA-E TATHEER WO TAQDEER JAGAADE
HAR MAATAMI KI SAYYADAA TAUQIR BANAADE
PURSAA TUJHE DENE KO TERI QABR PE AAYE