Anjuman E Sakina



BAAIS-WI RAJAB KI GADI REHMATON KI HAI
KUNDON KI YE NIYAAZ BADI BARKATON KI HAI

AI MOMINO NIYAAZ DILAAWO IMAAM KI
BAQIR KE LAAL SAAHIBE AALI MAQAAM KI

HASNAIN KE WOH LAADLE JAAFAR HAI UNKAA NAAM
SAADIQ LAQAB HAI AATE HAIN DUNIYAA MEN SAB KE KAAM
- AATE HAIN SAB KE KAAM
ZEHRAA KE AUR ALI KE DULAARE WOHI TO HAI
PYAARE NABI KE AANKHON KE TAARE WOHI TO HAI
UN MEN HI AABRU HAI KHUDAA KE KALAAM KI

MILTI HAI IS NIYAAZ SE HAR EK KO RAAHATEN
HOTI HAI DUR FAZLE KHUDAA SE MUSIBATEN
- GHAM AUR MUSIBATEN
KOI NIYAAZ DIL SE ADAB SE DILAAEGAA
HO JAAEGAA NIHAAL MURAADEN WOH PAAEGAA
TAQDEER IS SE BANTI HAI HAR BIGDE KAAM KI

JAB YE NIYAAZ GHAR MENN DILAAYE KOI BASHAR
PAAKIZGI KE SAATH DILAAYE WOH YE NAZAR
- DILAAYE WOH YE NAZAR
DAAWAT DO MOMINO KO AZIZO KO BHI WAHAAN
PHIR PANJATAN KE LAAL KAA DIL SE KARO BAYAAN
BARKAT HAI UNKE NAAM SE MAULAA KE NAAM KI

SAADIQ AGAR MILE TO SHAHE KARBALAA MILE
HASNAIN MILGAYE HAIN TO MUSHKIL KUSHAA MILE
- MUSHKIL KUSHAA MILE
JISKO ALI MILE HAIN USE MUSTAFAA MILE
SALWAAT PARH NABI PE KE TUJHKO KHUDAA MILE
ANJUM YAHI GADI HAI DUROOD-O SALAAM KI