Anjuman E Sakina



NA KARBALAA NA KUFAA NA DARBAARE AAM ME
ZAINAB SHAHEED HOGAYI BAAZAARE SHAAM ME

BIBI PE YUNH TO SHAAME GHARIBAA PE THI JAFAA
BAAZAARE SHAAM AAYAA TO SAR PAR NA THI RIDAA
NEZE PE SAR JO HAZRATE ABBAAS KAA GIRAA

BARSAAT PATHTHARON KI CHARAAGHAAN THAA CHAARSU
PEHLE HI TAAZIYAANE BARASTE THE KU BA KU
BEHNE LAGAA THAA AANKH SE SAJJAAD KE LAHU

BHAAI KAA SAR SINAA PE THAA ZULFEN LAHU ME TAR
NOUKE SINAA PE AUNO MUHAMMAD KE BHI THE SAR
CHHOTE SE EK SAR PE PADI JIS GADI NAZAR

AKBAR SE KARBALAA ME MULAAQAAT TAB HUWI
NEZON KE KAAFELE ME USE DHUDHTI RAHI
BAAZAARE SHAAM ME JO NAZAR SAR PE PADGAYI

BAANDHAA GAYAA SAKINAA KO PUSHTE SHUTAR KE SAATH
WO TASHNAGI THI MAA SE BHI KARTI NAHIN THI BAAT
GAALON TALAK SAKINAA KE POHNCHE LAEEN KE HAATH

AFSOS CHALRAHI THI WO ZINDAA KAHAAN RAHI
TALWAAR JISKE SAR PE CHALI BERIDAAYI KI
KEHTI THI DE KHABAR YE MADINE ME AB KOI