Anjuman E Sakina



HAAL E GHAM SUNAENGE JAB IMAM AAYENGE
ZAKHME DIL DIKHAENGE JAB IMAM AYENGE

MEHFIL E JAMAAENGE JAB IMAM AYENGE
BAMODAR SAJAENGE JAB IMAM AYENGE
JASHN HUM MANAENGE JAB IMAM AYENGE

ZAKHM HAI ABHI TAAZA MAQQE AUR MADEENE KE
SHAM O KUFA KARBOBALA HUM BHULA NAHIN SAKTE
JITNE DUKH UTHAE HAI HUMNE KALMA GOYO SE
AZ SAQEEFA TAA ISS DAM GHAIR SE NAHIN POHCHE
EK EK CHUKAENGE

MARHALA QAYAMAT KA HAI ZAHUR PAR MAUQUF
INSIDAADE JORO JAFA HAI ZAUR PAR MAUQUF
INTEQAAME KARBOBALA HAI ZAUR PAR MAUQUF
EHTEMAAME ROZE JAZA HAI ZAUR PAR MAUQUF
HUM SUKOON PAAENGE

SHAQ HAI JINHKO ALLAH KE ADL AUR ADAALAT PAR
MANSAB E NUBUWAT PAR SAYYADA KI ISMAT PAR
MURTUZA KI EHMAD SE MUTTASIL NAYABAT PAR
JINKO SHAQ HAI BARA PAR BAARWEY KI GHAIBAT PAR
SAB HI MAAR KHAENGE

YE HAMARE MAKRO RIYA SHATIRANA AIYARI
KYA HAMARE SAWM O SALAAT AUR YE AZADARI
KITNA HAI KHULUS INME KIS KADAR RIYAKARI
KYA IMAAM KI KHATIR HUM NE KI HAI TAYYARI
KAISE MUNH DIKHAENGE

DAWA E MOHABBAT JO SUBHO SHAAM KARTE HAI
UNKE DUSHMANO SE BHI RAAO RASM RAKHTE HAI
KHUMS BHI NAHIN DETE GHEEBATE BHI KARTE HAI
MOMINO SE BHI DIL ME BUGHZ O KEENA RAKHTE HAI
KISTARHA NIBHAENGE

JHUT BOLNE KO HUM MASHWALA SAMAJHTE HAI
BAAT BAAT PAR BEJAAN MASLEHAT BARAKHTE HAI
AUR MUNAFIQAT KO BHI MASLEHAT SAMAJHTE HAIN
LAWHO LAAB KA SAAMAAN HUM GHARON ME RAKHTE HAI
KISTARAH CHHUPAENGE

NEMATE SHARIYAT KO BOJH HI SAMAJHTE HAI
LAHWO LAAB HI KO HUM ZINDAGI SAMAJTE HAI
SAAHEBAAN E ZAR KO BADA AADMI SAMAJHTE HAI
TANG DAST MOMIN KO BAS YUHIN SAMAJHTE HAI
KYA MAQAAM PAENGE

AL AJAL JO KEHTE HAI AGAAYE TO KYA HOGA
KYA HAI APNI TAYYARI PESH HUM KARENGE KYA
"SIBT E JAFAR" APNA TO KUL YEHI HAI SARMAYA
HUMD O NAAT O SOZ O SALAAM AUR MANQABAT NAUHA
HUM YEHI SUNAENGE