Anjuman E Sakina



YAA ABAA ABDILLAAH YAA ABAA ABDILLAAH
ROOHI WA JISMI LAKAL FIDAA
HAR LAASHAA DETAA JAATAA HAI MAQTAL SE YE SADAA
ROOHI WA JISMI LAKAL FIDAA
YAA HUSAYN, YAA HUSAYN, YAA HUSAYN
YAA ABAA ABDILLAAH YAA ABAA ABDILLAAH

HAMNE HAI KIYAA AAP KI MAADAR SE YE WAADAA
MAJLIS NA RUKEGI KABHI MAATAM NA RUKEGAA
KATJAAYE CHAAHE HAATH YE KATJAAYE YE GALAA

DARTE HAIN KAHAAN MOUT SE HAM EHLE SHAHAADAT
HAI JAAN SE BARHKAR TERE ROUZE KI ZIYAARAT
KEHTE HUWE YE KAAFELE JAATE HAIN KARBALAA
ZAALIM NA BANAADE KAHIN EK AUR BAQAYYAA
PHIR MAULAA WOHI SHAAM HAI AUR AAP KAA KUNBAA
IZNE JIHAAD DIJIYE MEHDI KO AB ATAA

HALMIN KI JO SHABBIR NE MAQTAL ME SADAA DI
ASHAAB TADAPNE LAGE TANHAAI PE SHEH KI
UTH UTH KE DETAA JAATAA THAA HAR LAASHAA YE SADAA

SAJJAAD NE BAABAA KI JO TURBAT KO BANAAYAA
SHABBIR KE SINE PE JO ASGHAR KO SULAAYAA
LAASHE SE KEHKE DUSRAA LAASHAA LIPAT GAYAA

DARBAAR NA JAAUNGI MAI KEHTI THI YE KHWAAHAR
ROTE HUWE SHABBIR KO DEKHAA JO SINAA PAR
LABBAIK KEHKE CHAL PADI DARBAAR SAYYADAA

JIS WAQT KE ZINDAAN ME PYAASON KE SAR AAYE
ZAINAB NE WAHAAN AUNO MUHAMMAD KE BAJAAYE
BHAAI KE SAR KO GOD ME LETE HUWE KAHAA

AANKHON ME TAKALLUM HAI WO AASHUR KAA MANZAR
GHAIBAT KO AZAA KHAANAA-E SHABBIR BANAA KAR
PAIGHAAM IMAAME ASR KE HONTON PE HAI SADAA