Anjuman E Sakina



RASAN ME HAATH BANDHE HAIN BAHEN HAI BEPARDAA
SINAA SE SAR NA GIRAAYE TO KYAA KARE ABBAAS

PADAR KI LAASH SE USKO CHHURAAYAA JAATAA HAI
SITAM HAI NAAQE PE TANHAA BITHAAYAA JAATAA HAI
RASAN ME BAALI SAKINAA KAA BANDH RAHAA HAI GALAA

WO KIS TARHAA SE TASALLI DE AAKE MAADAR KO
KIYAA HAI DASHT ME DO BAAR ZIB-HA ASGHAR KO
LAHED SE AAGAYAA NEZE PE JISM ASGHAR KAA

CHHUPAA KE BAALON SE MUNH SHARM-SAAR HOTI HAI
WO PUSHTE NAAQAA PE AB KHUD SAWAAR HOTI HAI
YE KAISAA WAQT HAI ZAHRAA KI BETIYON PE PADAA

DHYAAN LAASHA-E SHABBIR SE HATAANAA THAA
DOBAARAA SAYYADE SAJJAAD KO BACHAANAA THAA
GIRI HAI NAAQE SE MAQTAL ME SAANI-E ZAHRAA

KAHIN PE QAASIM-O AKBAR KAHIN PE AUN KAA SAR
KAHIN HAIN LAAL RUQAYYAA KE AUR KAHIN ASGHAR
WO BACHCHEN NEZON PE HAIN GOD ME JISE PAALAA

HAI NEEL CHEHRE PE ITNE TAMAACHE MAARE HAIN
LAEEN KHENCH KE KAANON SE DUR UTAARE HAIN
HAI DONO KAANON SE MAASUM KE LAHU BEHTAA