Anjuman E Sakina



PEHLU BHI SHIKASTAA HAI TURBAT BHI SHIKASTAA HAI
KYAA HAAL YE UMMAT NE ZAHRAA KAA BANAAYAA HAI

KHAATUN KOI GHAM SE YUN CHOOR NAHIN DEKHI
AISI KOI DUNIYAA ME MASROOR NAHIN DEKHI
ATHAARAA BARAS MEN HI LAGTI TO ZAEEFAA HAI

DARBAAR ME ZAALIM NE KI AISI PAZIRAAYI
JIS TARHA SE TU BIBI PHIR LOUT KE GHAR AAYI
BAALON KI SAFEIDI NE SAB HAAL SUNAAYAA HAI

TU ROTI RAHI GHAR MEN HAIDAR SE BHI CHHUP CHHUP KE
ISMAT KI TARHA DUKH BHI PARDE ME RAHE TERE
KUCHH RAAZ TERE BIBI BAS JAANTI FIZZAA HAI

DO AISE JANAAZE HAIN TAARIKI MEN JO UTHE
BAS GHAR KE HI LOGON NE DONON KO DIYE KAANDHE
EK FAATEMAA ZAHRAA HAI EK BAALI SAKINAA HAI

MARHAM TERE ZAKHMON KAA BIBI NA MILAA AB TAK
AWLAADE UMAYYAA KI BAAQI HAI JAFAA AB TAK
RONE PE BHI PEHRAA THAA TURBAT PE BHI PEHRAA HAI

MISMAAR TERAA ROUZAA UMMAT NE KIYAA JAB SE
BAABAA TERAA REHTAA HAI TURBAT PE TERI TAB SE
KAB GUMBADE KHIZRAA ME BAABAA TERAA REHTAA HAI

MEHDI SE KOI PUCHHE KYAA USPE GUZARTI HAI
AAWAAZ BAQIYYAA SE JAB RONE KI AATI HAI
AANKHON SE LAHU ROKAR WO BHI YEHI KEHTAA HAI

TASWEER HAQIQAT KI KHWAABON KO BANAA DIJE
AI BIBI TAKALLUM KO TAABIR DIKHAA DIJE
MAATAM TERI TURBAT PE HOTE HUWE DEKHAA HAI