Anjuman E Sakina



AAYAA HAI ALAM AUR ALAMDAAR NA AAYAA
DARIYAA SE DIL-E HAIDAR-E KARRAR NA AAYAA

BAAZU JO KATE DAANTON ME MASHKIZAA DABAAYAA
JAB MASHK CHHIDI PHIR WO HAAYADAAR NA AAYAA

HAR LAASH PE BHAAI KA MADADGAAR THAA GHAAZI
BAAD USKE KOI SHEH KAA MADADGAAR NA AAYAA

JAB TAK WO RAHAA CHAADAR-E ZAINAB KAA MUHAAFIZ
KHAIME KI TARAF KOI SITAMGAAR NA AAYAA

BAAZU THAA JO SHABBIR KAA BE-BAAZU HUWAA WOH
BE -DAST WO DAST-E SHAHE ABRAAR NA AAYAA

JIS WAQT TAMAACHEN HAIN LAGE BOLI SAKINAA
KYA MUJHPE CHACHAA JAAN TUMHE PYAAR NA AAYAA

HAI MUJHKO YAKEEN NEZE PE GHAAZI KO YE GHAM THAA
QABZE ME MERE SHAAM KAA BAAZAAR NA AAYAA

MAANGAA HAI SAKINAA KE TAWASSUL SE JO MISAM
SALMAAN DAR-E GHAAZI SE INKAAR NA AAYAA