Anjuman E Sakina



MADINAA CHHOD CHALAA AAJ MUHAMMAD KAA NAWAASAA
DUAA KARO AMMAA DUAA KARO NAANAA
WAADE NIBHAAYEN SAARE PARDES JAANE WAALE

LAHU SE APNE SAJAAUNGAA KARBALAA KI ZAMEEN
MAI GARM RET PE RAKHDUNGAA KHUN BHARI YE JABEEN
KARDUNGAA GHAR KAA GHAR MAI KHUD MOUT KE HAWAALE

TAMAAM AMBIYAA ROENGE DEKH KAR MANZAR
UTHHAAKE AAG KE DARIYAA SE APNE HAATHON PAR
LAAUNGAA UNKE LAASHE JO GOUD KE HAIN PAALE

ZAMAANAA KEHTAA HAI BAABAA KO SAAQI-E KAUSAR
TO KYUN NA PYAAS BUJHAA DU MAI KARBALAA JAAKAR
SAB KHUN KE HAIN PYAASE AMMAA WO SHAAM WAALE

YE ZULM DEKHNAA AI AMMAA KARBALAA AAKE
MERE WATAN SE MERE GHAR SE MERI AANKHON SE
AKBAR KE SAATH RUKHSAT HOJAAENGE UJAALE

NA KAATLE YE LAEEN AAKE BEZABAAN KAA SAR
ZAMEEN KO SOMPUNGAA YE KEHKE LAASHA- E ASGHAR
AI KHAAKE KARBALAA TU ISS CHAAND KO CHHUPAALE

BANAA KE TURBATE ASGHAR JO RANSE AAWUNGAA
LIBAASE KOHNAA JO ZAINAB SE MAI MANGAAUNGA
GUNJENGE KARBALAA ME PARDESIYON KE NAALE

JO CHHUTKE SHAAM KE ZINDAAN SE AAYENGE QAIDI
TUMHE SUNAAENGE RORO KAR DAASTAAN APNI
NAANAA WO ZAKHME DIL HO YAA PAAUN KE HO CHHALE
GULU-E KHUSHK PE JAB HOGAA SHIMR KAA KHANJAR
KAHEGI RET KE TIL-E PAR ZAINABE MUZTAR
KOI SITAMGARON SE SHABBIR KO BACHAALE

WO CHAAHE MAZHAR-O IRFAAN HO YAA KALAM UNKAA
TUM USKO AJR ME DE DENAA HAQ SHIFAA-AT KAA
JISNE MERE MASAAEB ASH-AAR ME HAIN DHAALE