Anjuman E Sakina



HAQ KAR GAYE MAADAR KE ADAA SAARE KE SAARE
MAMU PE FIDA HOGAYE ZAINAB KE DULAARE

SAMJHATI THI BACHON KO BADE PYAR SE ZAINAB
BHOOLE SE NA JAANA KABHI DARIYA KE KANARE

PYAASI HAI SAKINA RAHE HAR AAN YEHI DHYAAN
PAANI KA TASAWWUR NA HO ZEHNO MEI TUMHAARE

GHODON SE GIRO BHI TO SADAA RAN SE NA DENAA
DEKHO MAI KHAFAA HUNGI JO MAMU KO PUKAARE

MAI KHAIME SE DEKHUNGI JARI KAVN HAI TUM MEI
LALKAAR KE PEHLE JO BINE-SAAD KO MAARE

WAADAA JO KIYAA MAA SE WAFAA KAR GAYE DONO
PYAASE HI LADAY PYAASE HI DUNIYA SE SIDHAARE

SAD HAIF HAI AY DASHTE BALAA TERI ZAMEEN NE
SAB CHHEEN LIYE ZAINABE MUZTAR KE SAHARE

PAALA THA JINHE GODH MAY WO JAA BASE BAN MEI
AB KOUN HAI ZAINAB KO JO MAA KEHKE PUKAARE